SEARCH RESULTS
Showing search results for "chalo"
MOST RELEVANT MATCHES FOR "chalo"
Ghazal
sunaa hai bole to baato.n se phuul jha.Dte hai.n
ye baat hai to chalo baat kar ke dekhte hai.n
Ahmad Faraz
Sher
us kii yaad aa.ii hai saa.nso zaraa aahista chalo
dha.Dkano.n se bhii ibaadat me.n KHalal pa.Dtaa hai
Rahat Indori
PAGE MATCHES FOR "chalo"
DICTIONARY MATCHES
MORE MATCHES FOR "chalo"
Sher
agar tumhaarii anaa hii kaa hai savaal to phir
chalo mai.n haath ba.Dhaataa huu.n dostii ke liye
Ahmad Faraz
Ghazal
ek diivaana musaafir hai mirii aa.nkho.n me.n
vaqt-be-vaqt Thahar jaataa hai chal pa.Dtaa hai
Rahat Indori
Nazm
aaj bazar mein pa-ba-jaulan chalo
aaj baazaar me.n paa-ba-jaulaa.n chalo
dast-afshaa.n chalo mast o raqsaa.n chalo
Faiz Ahmad Faiz
Ghazal
pareshaa.n ho tum bhii pareshaa.n huu.n mai.n bhii
chalo mai-kade me.n vahii.n baat hogii
Bashir Badr
Nazm
subh-e-azadi (August-47)
ye vo sahar to nahii.n jis kii aarzuu le kar
chale the yaar ki mil jaa.egii kahii.n na kahii.n
Faiz Ahmad Faiz
Sher
ghar se masjid hai bahut duur chalo yuu.n kar le.n
kisii rote hu.e bachche ko ha.nsaayaa jaa.e
Nida Fazli
Sher
baare duniyaa me.n raho Gam-zada yaa shaad raho
aisaa kuchh kar ke chalo yaa.n ki bahut yaad raho
Meer Taqi Meer
Ghazal
Ahmad Faraz
Sher
hayaat le ke chalo kaa.enaat le ke chalo
chalo to saare zamaane ko saath le ke chalo