SEARCH RESULTS
Showing search results for "'faazil'"
Sher MATCHES FOR "'faazil'"
Sher
puraane yaar bhii aapas me.n ab nahii.n milte
na jaane kaun kahaa.n dil lagaa ke baiTh gayaa
Fazil Jamili
Sher
kuchh log to KHilaaf ho.n haasid ko.ii to ho
kyaa lutf siidhii saadii mohabbat me.n aa.egaa
Fazil Jafri
Sher
zindagii ho to ka.ii kaam nikal aate hai.n
yaad aa.uu.ngaa kabhii mai.n bhii zaruurat me.n use
Fazil Jamili
Sher
muddat ke baa'd aaj mai.n office nahii.n gayaa
KHud apne saath baiTh ke din bhar sharaab pii
Fazil Jamili
Sher
sab apne apne diyo.n ke asiir paa.e ga.e
mai.n chaa.nd ban ke ka.ii aa.ngano.n me.n utraa huu.n
Fazil Jamili
Sher
mire vajuud ko parchhaa.iyo.n ne to.D diyaa
mai.n ik hisaar thaa tanhaa.iyo.n ne to.D diyaa
Fazil Jamili
Sher
Fazil Jamili
Sher
safed-poshii-e-dil kaa bharam bhii rakhnaa hai
tirii KHushii ke liye teraa Gam bhii rakhnaa hai
Fazil Jamili
Sher
mai.n ik thakaa hu.aa insaan aur kyaa kartaa
tarah tarah ke tasavvur KHudaa se baa.ndh liye
Fazil Jamili
Sher
ik ta'alluq thaa jise aag lagaa dii us ne
ab mujhe dekh rahaa hai vo dhu.aa.n hote hu.e
Fazil Jamili
Sher
tum kabhii ek nazar merii taraf bhii dekho
ik tavaqqo hii to hai ko.ii guzaarish to nahii.n
Fazil Jamili
Sher
Fazil Jamili
Sher
mai.n apne aap se aage nikalne vaalaa thaa
so KHud ko apnii nazar se giraa ke baiTh gayaa
Fazil Jamili
Sher
mai.n hii apnii qaid me.n thaa aur mai.n hii ek din
kar ke apne aap ko aazaad le jaane lagaa
Fazil Jamili
Sher
ab kaun jaa ke saahib-e-mimbar se ye kahe
kyuu.n KHuun pii rahaa hai sitamgar sharaab pii
Fazil Jamili
Sher
Fazil Jamili
Sher
is cocktail kaa to nasha hii kuchh aur hai
Gam ko KHushii ke saath milaa kar sharaab pii