SEARCH RESULTS
Showing search results for "'mahak'"
Sher MATCHES FOR "'mahak'"
Sher
mahak rahii hai zamii.n chaa.ndnii ke phuulo.n se
KHudaa kisii kii mohabbat pe muskuraayaa hai
Bashir Badr
Sher
jin ke kirdaar se aatii ho sadaaqat kii mahak
un kii tadriis se patthar bhii pighal sakte hai.n
Unknown
Sher
jab tujhe yaad kar liyaa sub.h mahak mahak uThii
jab tiraa Gam jagaa liyaa raat machal machal ga.ii
Faiz Ahmad Faiz
Sher
bhiigii miTTii kii mahak pyaas ba.Dhaa detii hai
dard barsaat kii buu.ndo.n me.n basaa kartaa hai
Marghoob Ali
Sher
khilnaa kahii.n chhupaa bhii hai chaahat ke phuul kaa
lii ghar me.n saa.ns aur galii tak mahak ga.ii
Arzoo Lakhnavi
Sher
mahak uThii hai fazaa pairahan kii KHushbuu se
chaman dilo.n kaa khilaane ko eid aa.ii hai
Mohammad Asadullah
Sher
tire badan kii mahak ko gulaab se tashbiih
ki jaise ko.ii dikhaa.e charaaG suuraj ko
Maroof Raebarelvi
Sher
nii.nd miTTii kii mahak sabze kii ThanDak
mujh ko apnaa ghar bahut yaad aa rahaa hai
Abdul Ahad Saaz
Sher
Saghar Siddiqui
Sher
zarre zarre me.n mahak pyaar kii Daalii jaa.e
buu ta.assub kii har ik dil se nikaalii jaa.e
Danish Aligarhi
Sher
gul-daan me.n gulaab kii kaliyaa.n mahak uThii.n
kursii ne us ko dekh ke aaGosh vaa kiyaa
Mohammad Alvi
Sher
Khalilur Rahman Azmi
Sher
tire KHayaal ke pahluu se uTh ke jab dekhaa
mahak rahaa thaa zamaane me.n chaar-suu tiraa Gam
Majeed Amjad
Sher
us gul-badan kii buu-e-badan kuchh na puuchhiye
band-e-qabaa jo khol diye ghar mahak gayaa
Haidar Ali Aatish
Sher
mahak ajab sii ho ga.ii pa.De pa.De sanduuq me.n
ra.ngat phiikii pa.D ga.ii resham ke ruumaal kii
Muneer Niyazi
Sher
Aziz Nabeel
Sher
ye aarzuu ke sitaare ye intizaar ke phuul
chamak rahii hai.n KHataa.e.n mahak rahe hai.n gunaah
Kausar Jayasi
Sher
aayaa thaa shab ko chhup ke vo rashk-e-chaman so aah
phailii ye ghar me.n buu ki mohalla mahak gayaa