SEARCH RESULTS
Showing search results for "'mahmuud'"
Sher MATCHES FOR "'mahmuud'"
Sher
lafz o manzar me.n ma.aanii ko TaTolaa na karo
hosh vaale ho to har baat ko samjhaa na karo
Mahmood Ayaz
Sher
maut us kii hai kare jis kaa zamaana afsos
yuu.n to duniyaa me.n sabhii aa.e hai.n marne ke liye
Mahmood Rampuri
Sher
Khalid Mahmood
Sher
ye aur baat ki chaahat ke zaKHm gahre hai.n
tujhe bhulaane kii koshish to varna kii hai bahut
Mahmood Shaam
Sher
mai.n aa gayaa huu.n vahaa.n tak tirii tamannaa me.n
jahaa.n se ko.ii bhii imkaan-e-vaapsii na rahe
Mahmood Ghazni
Sher
vo nahii.n hai na sahii tark-e-tamannaa na karo
dil akelaa hai ise aur akelaa na karo
Mahmood Ayaz
Sher
bas ek apne hii qadmo.n kii chaap suntaa huu.n
mai.n kaun huu.n ki bhare shahr me.n bhii tanhaa huu.n
Mahmood Shaam
Sher
jo ho sakaa na miraa us ko bhuul jaa.uu.n mai.n
paraa.ii aag me.n kyuu.n u.ngliyaa.n jalaa.uu.n mai.n
Anvar Mahmood Khalid
Sher
jiine vaalo.n se kaho ko.ii tamannaa Dhuu.nDe.n
ham to aasuuda-e-manzil hai.n hamaaraa kyaa hai
Mahmood Ayaz
Sher
kitne chehre kitnii shakle.n phir bhii tanhaa.ii vahii
kaun le aayaa mujhe in aa.iino.n ke darmiyaa.n
Mahmood Shaam
Sher
shaayad ki mar gayaa mire andar kaa aadmii
aa.nkhe.n dikhaa rahaa hai baraabar kaa aadmii
Khalid Mahmood
Sher
paa.nv uThte hai.n kisii mauj kii jaanib lekin
rok letaa hai kinaara ki Thahar paanii hai
Akram Mahmud
Sher
ab dil bhii dukhaa.o to aziyyat nahii.n hotii
hairat hai kisii baat pe hairat nahii.n hotii
Akram Mahmud
Sher
ab mujh se kaarobaar kii haalat na puuchhiye
aa.iina bechtaa huu.n mai.n andho.n ke shahar me.n