SEARCH RESULTS
Showing search results for "'maz.harii'"
Sher MATCHES FOR "'maz.harii'"
Sher
dil naa-umiid to nahii.n naakaam hii to hai
lambii hai Gam kii shaam magar shaam hii to hai
Faiz Ahmad Faiz
Sher
jalaane vaale jalaate hii hai.n charaaG aaKHir
ye kyaa kahaa ki havaa tez hai zamaane kii
Jameel Mazhari
Sher
Jameel Mazhari
Sher
Kausar Mazhari
Sher
Jameel Mazhari
Sher
nazar jhuk rahii hai KHamoshii hai lab par
hayaa hai adaa hai ki an-ban hai kyaa hai
Kausar Mazhari
Sher
ham ko bachpan hii se ik shauq thaa barbaadii se
naam likh likh ke miTaate the zamii.n par apnaa
Ameer Raza Mazhari
Sher
Jameel Mazhari
Sher
rabt hai us ko zamaane se bahut suntaa huu.n
ko.ii tarkiib karuu.n mai.n bhii zamaana ho jaa.uu.n
Kausar Mazhari
Sher
kise KHabar thii ki le kar charaaG-e-mustafavii
jahaa.n me.n aag lagaatii phiregii buu-lahabii
Jameel Mazhari
Sher
buto.n ko to.D ke aisaa KHudaa banaanaa kyaa
buto.n kii tarah jo ham-shakl aadmii kaa ho
Jameel Mazhari
Sher
bojh dil par hai nadaamat kaa to aisaa kar lo
mere siine se kisii aur bahaane lag jaa.o
Kausar Mazhari
Sher
kyaa ta.ajjub hai jo yaaro.n ne rifaaqat chho.Dii
baiThtaa kaun hai girtii hu.ii diivaar ke paas