SEARCH RESULTS
Showing search results for "'qais'"
Sher MATCHES FOR "'qais'"
Sher
ujaale apnii yaado.n ke hamaare saath rahne do
na jaane kis galii me.n zindagii kii shaam ho jaa.e
Bashir Badr
Sher
qais jangal me.n akelaa hai mujhe jaane do
KHuub guzregii jo mil baiThe.nge diivaane do
Miyan dad Khan Sayyah
Sher
Saeed Qais
Sher
luT ga.e ek hii a.ng.Daa.ii me.n aisaa bhii hu.aa
umr-bhar phirte rahe ban ke jo hoshiyaar bahut
Qais Rampuri
Sher
mai.n jaantaa huu.n mohabbat me.n kyaa nahii.n karnaa
ye vo jagah hai jahaa.n qais bhii phisaltaa hai
Rana Amir Liyaqat
Sher
ye vaaqi.a mirii aa.nkho.n ke saamne kaa hai
sharaab naach rahii thii gilaas baiThe rahe
Saeed Qais
Sher
'ishq' raushan thaa vahaa.n diida-e-aahuu se charaaG
mai.n jo yak raat gayaa qais ke kaashaane me.n
Ishq Aurangabadi
Sher
raah-e-ulfat me.n mulaaqaat hu.ii kis kis se
dasht me.n qais milaa koh me.n farhaad mujhe
Mardan Ali Khan Rana
Sher
Bahadur Shah Zafar
Sher
naqsh-e-qadam hai.n raah me.n farhaad-o-qais ke
ai ishq khii.nch kar mujhe laayaa idhar kahaa.n
Sahir Dehlavi
Sher
ham se pahle bhii mohabbat kaa yahii anjaam thaa
qais bhii naashaad thaa farhaad bhii naakaam thaa
Unknown
Sher
farhaad o qais o vaamiq o azraa the chaar dost
ab ham bhii aa mile to hu.e mil ke chaar paa.nch
Bahadur Shah Zafar
Sher
tum ne jab shahr ko jangal me.n badal Daalaa hai
phir to ab qais ko jangal se nikal aane do
Munawwar Rana
Sher
tum apne dariyaa kaa ronaa rone aa jaate ho
ham to apne saat samundar piichhe chho.D aa.e hai.n
Saeed Qais
Sher
paivasta gard-e-dasht rahii gar tah-e-daruu.n
aayaa hai jism-e-qais agar pairahan ke biich