SEARCH RESULTS
Showing search results for "'raaqim'"
Sher MATCHES FOR "'raaqim'"
Sher
ik zalzale ke shor me.n sab log dab ga.e
ho ab bayaa.n tabaahii kii tafsiil kis tarah
Imran Raqim
Sher
un ke liye uThaa.ii.n tabassum kii zahmate.n
lenaa pa.Daa KHushii kaa sahaaraa kabhii kabhii
Raqim Lakhnavi
Sher
ai chashm-e-iltifaat ke maare hu.e sambhal
ye husn-e-ittifaaq hai husn-e-nazar nahii.n
Raqim Lakhnavi
Sher
Bandar ibn-e-Raqim
Sher
dam bhar agar nasiib ho fursat to po.nchh lo
peshaaniyo.n pe gard-e-safar hai musaafiro
Raqim Lakhnavi
Sher
itnaa hii chaahtaa huu.n ki mai.n aur andaliib
aapas me.n dard-e-dil kahe.n Tuk baiTh kar kahii.n
Bandar ibn-e-Raqim
Sher
sarf-e-sujuud kar ke jabiin-e-nazar ko mai.n
me.araaj de rahaa huu.n tire sa.ng-e-dar ko mai.n
Raqim Lakhnavi
Sher
sunaa kis ne haal meraa ki juu.n abr vo na royaa
rakhe hai magar ye qissa asar-e-du.aa-e-baaraa.n
Bandar ibn-e-Raqim
Sher
ai baaGbaa.n nahii.n tire gulshan se kuchh Garaz
mujh se qasam le chhe.Duu.n agar barg-o-bar kahii.n
Bandar ibn-e-Raqim
Sher
ham parvarish-e-lauh-o-qalam karte rahe.nge
jo dil pe guzartii hai raqam karte rahe.nge
Faiz Ahmad Faiz
Sher
is tarah zindagii ne diyaa hai hamaaraa saath
jaise ko.ii nibaah rahaa ho raqiib se
Sahir Ludhianvi
Sher
le mere tajrabo.n se sabaq ai mire raqiib
do-chaar saal umr me.n tujh se ba.Daa huu.n mai.n
Qateel Shifai
Sher
tumhaare KHat me.n nayaa ik salaam kis kaa thaa
na thaa raqiib to aaKHir vo naam kis kaa thaa
Dagh Dehlvi
Sher
idhar aa raqiib mere mai.n tujhe gale lagaa luu.n
miraa ishq be-mazaa thaa tirii dushmanii se pahle
Kaif Bhopali
Sher
us naqsh-e-paa ke sajde ne kyaa kyaa kiyaa zaliil
mai.n kuucha-e-raqiib me.n bhii sar ke bal gayaa