SEARCH RESULTS
Showing search results for "'sharar'"
Sher MATCHES FOR "'sharar'"
Sher
agar sharar hai to bha.Dke jo phuul hai to khile
tarah tarah kii talab tere ra.ng-e-lab se hai
Faiz Ahmad Faiz
Sher
to zindagii ko ji.e.n kyuu.n na zindagii kii tarah
kahii.n pe phuul kahii.n par sharar banaate hu.e
Jaleel 'Aali'
Sher
shabaab-e-husn hai barq-o-sharar kii manzil hai
ye aazmaa.ish-e-qalb-o-nazar kii manzil hai
Ghulam Rabbani Taban
Sher
agar vo karne pe aataa to kuchh bhii kar jaataa
ye soch mat ki akelaa sharaar kyaa kartaa
Jawad Sheikh
Sher
guzar gayaa hai ko.ii lamha-e-sharar kii tarah
abhii to mai.n use pahchaan bhii na paayaa thaa
Jan Nisar Akhtar
Sher
Kaleem Haider Sharar
Sher
har sang me.n sharaar hai tere zuhuur kaa
muusaa nahii.n jo sair karuu.n koh tuur kaa
Mohammad Rafi Sauda
Sher
shaayad ab bhii ko.ii sharar baaqii ho 'zeb'
dil kii raakh se aa.nch aatii hai kam kam sii
Zeb Ghauri
Sher
na KHauf-e-barq na KHauf-e-sharar lage hai mujhe
KHud apne baaG ke phuulo.n se Dar lage hai mujhe
Malikzaada Manzoor Ahmad
Sher
Liaqat Jafri
Sher
Kaleem Haider Sharar
Sher
dil yuu.n to gaah gaah sulagtaa hai aaj bhii
manzar magar vo raqs-e-sharar kaa nahii.n rahaa
Fuzail Jafri
Sher
Haya Lakhnavi
Sher
Wamiq Jaunpuri
Sher
ghar ghar hai sahmaa sahmaa saa jaane kyuu.n
galiyo.n galiyo.n kyuu.n hai ik Dar kaa maahaul
Inam Sharar Ayyubi
Sher
aa.nkho.n me.n raakh Daal ke niklaa huu.n sair ko
shaaKHo.n pe naachte hai.n sharar mere saamne
Zafar Iqbal
Sher
gulo.n kaa zikr bahaaro.n me.n kar chuke 'aKHtar'
ab aa.o hosh me.n barq-o-sharar kii baat karo
Akhtar Ansari Akbarabadi
Sher
jalaa diye hai.n kisii ne puraane KHat varna
fazaa me.n aisaa to raqs-e-sharar nahii.n hotaa