SEARCH RESULTS
Showing search results for "'talab'"
Sher MATCHES FOR "'talab'"
Sher
hogaa kisii diivaar ke saa.e me.n pa.Daa 'miir'
kyaa rabt mohabbat se us aaraam-talab ko
Meer Taqi Meer
Sher
aashiqii sabr-talab aur tamannaa betaab
dil kaa kyaa rang karuu.n KHuun-e-jigar hote tak
Mirza Ghalib
Sher
Parveen Shakir
Sher
ham hai.n suukhe hu.e taalaab pe baiThe hu.e hans
jo ta'alluq ko nibhaate hu.e mar jaate hai.n
Abbas Tabish
Sher
ko.ii charaag jalaataa nahii.n saliiqe se
magar sabhii ko shikaayat havaa se hotii hai
Khurshid Talab
Sher
yaa tere alaava bhii kisii shai kii talab hai
yaa apnii mohabbat pe bharosaa nahii.n ham ko
Shahryar
Sher
roz diivaar me.n chun detaa huu.n mai.n apnii anaa
roz vo to.D ke diivaar nikal aatii hai
Khurshid Talab
Sher
diidaar kii talab ke tariiqo.n se be-KHabar
diidaar kii talab hai to pahle nigaah maa.ng
Azad Ansari
Sher
hame.n har vaqt ye ehsaas daaman-giir rahtaa hai
pa.De hai.n Dher saare kaam aur mohlat zaraa sii hai
Khurshid Talab
Sher
Abbas Rizvi
Sher
agar sharar hai to bha.Dke jo phuul hai to khile
tarah tarah kii talab tere ra.ng-e-lab se hai
Faiz Ahmad Faiz
Sher
bosa jo talab mai.n ne kiyaa ha.ns ke vo bole
ye husn kii daulat hai luTaa.ii nahii.n jaatii
Unknown
Sher
shauq-e-safar be-sabab aur safar be-talab
us kii taraf chal diye jis ne pukaaraa na thaa
Shahzad Ahmad
Sher
ham sahal-talab kaun se farhaad the lekin
ab shahr me.n tere ko.ii ham saa bhii kahaa.n hai