SEARCH RESULTS
Showing search results for "'yashab'"
Sher MATCHES FOR "'yashab'"
Sher
karne ko kuchh nahii.n hai na.e saal me.n 'yashab'
kyo.n naa kisii se tark-e-mohabbat hii kiijiye
Yashab Tamanna
Sher
samajh sakaa na use mai.n qusuur meraa hai
ki mere saamne to vo khulii kitaab rahaa
Yashab Tamanna
Sher
haqiiqato.n se mafar chaahii thii 'yashab' mai.n ne
par asl asl rahaa aur KHvaab KHvaab rahaa
Yashab Tamanna
Sher
yahaa.n libaas kii qiimat hai aadmii kii nahii.n
mujhe gilaas ba.De de sharaab kam kar de
Bashir Badr
Sher
isii liye to yahaa.n ab bhii ajnabii huu.n mai.n
tamaam log farishte hai.n aadmii huu.n mai.n
Bashir Badr
Sher
yahaa.n kisii ko bhii kuchh hasb-e-aarzuu na milaa
kisii ko ham na mile aur ham ko tuu na milaa
Zafar Iqbal
Sher
kaun aa.egaa yahaa.n ko.ii na aayaa hogaa
meraa darvaaza havaa.o.n ne hilaayaa hogaa
Kaif Bhopali
Sher
Allama Iqbal
Sher
Habib Jalib
Sher
Rahat Indori
Sher
har shaKHs dau.Dtaa hai yahaa.n bhii.D kii taraf
phir ye bhii chaahtaa hai use raastaa mile
Waseem Barelvi
Sher
sharaafato.n kii yahaa.n ko.ii ahmiyat hii nahii.n
kisii kaa kuchh na bigaa.Do to kaun Dartaa hai