SEARCH RESULTS
Showing search results for ",DIj7"
Sher MATCHES FOR ",Dij7"
Sher
saKHt-jaa.n huu.n mujhe ik vaar se kyaa hotaa hai
aisii choTe.n ko.ii do-chaar to aane diije
Bekhud Dehlvi
Sher
haath dono.n mirii gardan me.n hamaa.il kiije
aur Gairo.n ko dikhaa diije a.nguuThaa apnaa
Aagha Akbarabadi
Sher
phir mu.nh se are kah kar paimaana giraa diije
phir to.Diye dil meraa phir liijiye a.ng.Daa.ii
Manzar Lakhnavi
Sher
mujh se tanhaa.ii me.n gar miliye to diije gaaliyaa.n
aur bazm-e-Gair me.n jaan-e-hayaa ho jaa.iye
Hasrat Mohani
Sher
rahe na jaan to qaatil ko KHuu.n-bahaa diije
kaTe zabaan to KHanjar ko marhabaa kahiye
Mirza Ghalib
Sher
kahaa ye mai.n ne bhalaa kab ki mat sazaa diije
magar qusuur to mujh ko miraa bataa diije
Ayub Sabir
Sher
nau-giraftaar-e-mohabbat huu.n vafaa mujh me.n kahaa.n
kam se kam dil abhii sau baar to aane diije
Bekhud Dehlvi
Sher
sar diije raah-e-ishq me.n par mu.nh na mo.Diye
patthar kii sii lakiir hai ye koh-kan kii baat
Jurat Qalandar Bakhsh
Sher
taKHta-e-daar pe chaahe jise laTkaa diije
itne logo.n me.n gunaahgaar ko.ii to hogaa
Shahzad Ahmad
Sher
puuchhe jo tujh se ko.ii ki 'taskii.n' se kyuu.n milaa
kah diijo haal dekh ke rahm aa gayaa mujhe
Taskeen Dehlavi
Sher
rozgaar-e-‘ishq bhii ik kaam hai lekin huzuur
aap apne ghar kaa ik darbaan kar diije mujhe
Mumtaz Iqbal
Sher
aap ke shahr me.n suuraj to nikalne se rahaa
ek mash.al hii mire haat me.n rahne diije
Sagheer Riyaz
Sher
aa.iye shauq se bhau.nchaal bapaa kar diije
bazm-e-dil aap kii KHaatir hii sajaa rakkhii hai