SEARCH RESULTS
Showing search results for ",EYj"
Sher MATCHES FOR ",eyj"
Sher
apnii anaa kii aaj bhii taskiin ham ne kii
jii bhar ke us ke husn kii tauhiin ham ne kii
Iqbal Sajid
Sher
ai mohabbat tire anjaam pe ronaa aayaa
jaane kyuu.n aaj tire naam pe ronaa aayaa
Shakeel Badayuni
Sher
Jaun Eliya
Sher
ham to samjhe the ki ham bhuul ga.e hai.n un ko
kyaa hu.aa aaj ye kis baat pe ronaa aayaa
Sahir Ludhianvi
Sher
ik tarz-e-taGaaful hai so vo un ko mubaarak
ik arz-e-tamannaa hai so ham karte rahe.nge
Faiz Ahmad Faiz
Sher
kabhii KHud pe kabhii haalaat pe ronaa aayaa
baat niklii to har ik baat pe ronaa aayaa
Sahir Ludhianvi
Sher
kaun rotaa hai kisii aur kii KHaatir ai dost
sab ko apnii hii kisii baat pe ronaa aayaa
Sahir Ludhianvi
Sher
yuu.n to har shaam umiido.n me.n guzar jaatii hai
aaj kuchh baat hai jo shaam pe ronaa aayaa