SEARCH RESULTS
Showing search results for ",EjRa"
Sher MATCHES FOR ",ejra"
Sher
zindagii kyaa hai anaasir me.n zuhuur-e-tartiib
maut kyaa hai inhii.n ajzaa kaa pareshaa.n honaa
Chakbast Braj Narayan
Sher
ik aur dariyaa kaa saamnaa thaa 'muniir' mujh ko
mai.n ek dariyaa ke paar utraa to mai.n ne dekhaa
Muneer Niyazi
Sher
Bashir Badr
Sher
zamiin jab bhii hu.ii karbalaa hamaare liye
to aasmaan se utraa KHudaa hamaare liye
Obaidullah Aleem
Sher
tamaam jism kii uryaaniyaa.n thii.n aa.nkho.n me.n
vo merii ruuh me.n utraa hijaab pahne hu.e
Saqi Faruqi
Sher
dil kabhii KHvaab ke piichhe kabhii duniyaa kii taraf
ek ne ajr diyaa ek ne ujrat nahii.n dii
Iftikhar Arif
Sher
kachre se uThaa.ii jo kisii tifl ne roTii
phir halq se mere ko.ii luqma nahii.n utraa
Badr Muneer
Sher
diivaar-e-KHastagii huu.n mujhe haath mat lagaa
mai.n gir pa.Duu.ngaa dekh mujhe aasraa na de
Aslam Ansari
Sher
shikasta-haal saa be-aasraa saa lagtaa hai
ye shahr dil se ziyaada dukhaa saa lagtaa hai
Obaidullah Aleem
Sher
kis ne dekhe hai.n tirii ruuh ke riste hu.e zaKHm
kaun utraa hai tire qalb kii gahraa.ii me.n
Rais Amrohvi
Sher
bahut qadiim nahii.n kal kaa vaaqi.a hai ye
mai.n is zamiin pe utraa thaa terii zaat ke saath
Faizan Hashmi
Sher
ghar apnaa kisii aur kii nazro.n se na dekho
har tarah se uj.Daa hai magar phir bhii sajaa hai
Jamill Murassapuri
Sher
mai.n duniyaa ke me.aar pe puuraa nahii.n utraa
duniyaa mire me.aar pe puurii nahii.n utrii
Munawwar Rana
Sher
dil kii dahliiz pe jab shaam kaa saaya utraa
ufuq-e-dard se siine me.n ujaalaa utraa