SEARCH RESULTS
Showing search results for ",FTUx"
Sher MATCHES FOR ",fTux"
Sher
us ne majbuur-e-vafaa jaan ke mu.nh pher liyaa
mujh se ye bhuul hu.ii puuchh liyaa kaise ho
Anjum Fauqi Badayuni
Sher
pahle thaa bahut faasla baazaar se ghar kaa
ab ek hii kamre me.n hai baazaar bhii ghar bhii
Zia Faooqui
Sher
sach ko.ii fan to nahii.n hai jo sikhaayaa jaa.e
jhuuT se kaam le sach bolnaa aa jaa.egaa
Anjum Fauqi Badayuni
Sher
Anjum Fauqi Badayuni
Sher
mat puuchhiye kyaa jiitne niklaa thaa mai.n ghar se
ye dekhiye kyaa haar ke lauTaa huu.n safar se
Zia Faooqui
Sher
Anjum Fauqi Badayuni
Sher
Zia Faooqui
Sher
badan kii qaid se chhuuTaa to log pahchaane
tamaam 'umr kisii ko miraa pata na milaa
Zia Faooqui
Sher
ye safar ye Duubte suuraj kaa manzar aur mai.n
jaane kab ho paa.e.nge baaham miraa ghar aur mai.n
Zia Faooqui
Sher
aa.nkhe.n hai.n ki ab tak usii chaukhaT pe dharii hai.n
detaa huu.n zamaane ko magar apnaa pata aur
Zia Faooqui
Sher
zindagii ke is safar ne aur kyaa mujh ko diyaa
ek TuuTaa aa.ina do chaar patthar aur mai.n
Zia Faooqui
Sher
kaun jaane aaj bhii karte hai.n kis kaa intizaar
ye shikasta baam-o-dar rauzan kabuutar aur mai.n
Zia Faooqui
Sher
Hanif Fauq
Sher
kyaa KHabar thii ki tamaashe ko hunar karte hu.e
'umr kaT jaa.egii baazaar ko ghar karte hu.e
Zia Faooqui
Sher
lahuu se jin ke hai raushan ye KHaanqaah-e-junuu.n
hamaare sar pe hai saaya unhii.n buzurgo.n kaa
Zia Faooqui
Sher
Gam-e-hayaat ko yuu.n KHush-gavaar kar liyaa hai
ki ham ne haal ko maazii shumaar kar liyaa hai
Zia Faooqui
Sher
kal raat bhii ik chehra hamraah mire jaagaa
kal raat bhii rah-rah kar diivaar lagii.n aa.nkhe.n