SEARCH RESULTS
Showing search results for ",GifS"
Sher MATCHES FOR ",Gifs"
Sher
yahaa.n libaas kii qiimat hai aadmii kii nahii.n
mujhe gilaas ba.De de sharaab kam kar de
Bashir Badr
Sher
ye vaaqi.a mirii aa.nkho.n ke saamne kaa hai
sharaab naach rahii thii gilaas baiThe rahe
Saeed Qais
Sher
bajaa.e mai diyaa paanii kaa ik gilaas mujhe
samajh liyaa mire saaqii ne bad-havaas mujhe
Suroor Jahanabadi
Sher
din Dhal gayaa to raat guzarne kii aas me.n
suuraj nadii me.n duub gayaa ham gilaas me.n
Rahat Indori
Sher
KHaalii hu.aa gilaas nasha sar me.n aa gayaa
dariyaa utar gayaa to samundar me.n aa gayaa
Afzaal Naveed
Sher
milii hai.n suukhte dariyaa ko bahr kii lahre.n
tire gilass me.n paanii piyaa hai shahzaadii
Haris Bilal
Sher
jo yaad-e-yaar se guft-o-shuniid kar lii hai
to goyaa phuul se KHushbuu kashiid kar lii hai
Naseem Sahar
Sher
Ghulam Mohammad Qasir
Sher
u.ngliyaa.n ghis ga.ii.n yaa.n haatho.n ko malte malte
lekin afsos navishta na miTaa qismat kaa
Sanaullah Firaq
Sher
guzrii savaal-e-vasl ke chakkar me.n saarii umr
fursat na mil sakii use guft-o-shuniid kii
Inam Durrani
Sher
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
zabaa.n pe tauba kii te kis taraf se aa niklii
abhii gilaas me.n baaqii sharaab keii be hai
Sarfraz Zahid
Sher
in parbato.n ke biich thii mastuur ik guphaa
patthar kii narmiyo.n me.n thii mahfuuz kaa.enaat
Wahab Danish
Sher
saaqiyaa hijr me.n kab hai havas-e-guft-o-shuniid
saaGar-e-gosh se miinaa-e-zabaa.n duur rahe
Khwaja Mohammad Wazir
Sher
us ne puuchhaa ki mujhe gift me.n kyaa doge tum
thaam kar dil ko mai.n kahne lagaa haazaa haazaa