SEARCH RESULTS
Showing search results for ",HPLi"
Sher MATCHES FOR ",Hpli"
Sher
maa.n baap aur ustaad sab hai.n KHudaa kii rahmat
hai rok-Tok un kii haq me.n tumhaare ne.amat
Altaf Hussain Hali
Sher
farishte se ba.Dh kar hai insaan ban.naa
magar is me.n lagtii hai mehnat ziyaada
Altaf Hussain Hali
Sher
ham jis pe mar rahe hai.n vo hai baat hii kuchh aur
aalam me.n tujh se laakh sahii tuu magar kahaa.n
Altaf Hussain Hali
Sher
sadaa ek hii ruKH nahii.n naav chaltii
chalo tum udhar ko havaa ho jidhar kii
Altaf Hussain Hali
Sher
hotii nahii.n qubuul du.aa tark-e-ishq kii
dil chaahtaa na ho to zabaa.n me.n asar kahaa.n
Altaf Hussain Hali
Sher
bahut jii KHush hu.aa 'haalii' se mil kar
abhii kuchh log baaqii hai.n jahaa.n me.n
Altaf Hussain Hali
Sher
Bhartendu Harishchandra
Sher
hai justujuu ki KHuub se hai KHuub-tar kahaa.n
ab Thahartii hai dekhiye jaa kar nazar kahaa.n
Altaf Hussain Hali
Sher
ishq sunte the jise ham vo yahii hai shaayad
KHud-baKHud dil me.n hai ik shaKHs samaayaa jaataa
Altaf Hussain Hali
Sher
ham ne avval se pa.Dhii hai ye kitaab aaKHir tak
ham se puuchhe ko.ii hotii hai mohabbat kaisii
Altaf Hussain Hali
Sher
yahii hai ibaadat yahii diin o iimaa.n
ki kaam aa.e duniyaa me.n insaa.n ke insaa.n
Altaf Hussain Hali
Sher
sajnii kii aa.nkho.n me.n chhup kar jab jhaa.nkaa
bin holii khele hii saajan bhiig gayaa
Musavvir Sabzwari
Sher
mu.nh par naqaab-e-zard har ik zulf par gulaal
holii kii shaam hii to sahar hai basant kii
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
tum ko hazaar sharm sahii mujh ko laakh zabt
ulfat vo raaz hai ki chhupaayaa na jaa.egaa
Altaf Hussain Hali
Sher
shahd-o-shakar se shiirii.n urdu zabaa.n hamaarii
hotii hai jis ke bole miiThii zabaa.n hamaarii
Altaf Hussain Hali
Sher
mausam-e-holii hai din aa.e hai.n rang aur raag ke
ham se tum kuchh maa.ngne aa.o bahaane phaag ke