SEARCH RESULTS
Showing search results for ",KUR7"
Sher MATCHES FOR ",Kur7"
Sher
tumhaare shahr kaa mausam ba.Daa suhaanaa lage
mai.n ek shaam churaa luu.n agar buraa na lage
Qaisarul Jafri
Sher
din bhar kii mashaqqat se badan chuur hai lekin
maa.n ne mujhe dekhaa to thakan bhuul ga.ii hai
Munawwar Rana
Sher
kal mai.n ne us ko dekhaa to dekhaa nahii.n gayaa
mujh se bichha.D ke vo bhii bahut Gam se chuur thaa
Muneer Niyazi
Sher
churaa ke muTThii me.n dil ko chhupaa.e baiThe hai.n
bahaanaa ye hai ki meh.ndii lagaa.e baiThe hai.n
Meer Mehdi Majrooh
Sher
thakan se chuur hai saaraa vajuud ab meraa
mai.n bojh itne Gamo.n kaa to Dho nahii.n saktaa
Babar Rehman Shah
Sher
bharii duniyaa me.n faqat mujh se nigaahe.n na churaa
ishq par bas na chalegaa tirii daanaa.ii kaa
Ahmad Nadeem Qasmi
Sher
Ibn-e-Insha
Sher
partav-e-KHur se hai shabnam ko fanaa kii ta.aliim
mai.n bhii huu.n ek inaayat kii nazar hote tak
Mirza Ghalib
Sher
kal tum jo bazm-e-Gair me.n aa.nkhe.n churaa ga.e
kho.e ga.e ham aise ki aGyaar paa ga.e
Momin Khan Momin
Sher
nazar churaa ke vo guzraa qariib se lekin
nazar bachaa ke mujhe dekhtaa bhii jaataa thaa
Mushfiq Khwaja
Sher
masjid kaa hai KHayaal na parvaa-e-church hai
jo kuchh hai ab to college-o-teacher me.n KHarch hai
Akbar Allahabadi
Sher
Ameer Minai
Sher
Firaq Gorakhpuri
Sher
rindo.n ke haath se nahii.n TuuTii ye saaqiyaa
nashshe me.n chuur ho ga.ii botal sharaab kii