SEARCH RESULTS
Showing search results for ",KdUc"
Sher MATCHES FOR ",Kduc"
Sher
Ibn-e-Insha
Sher
kuredtaa hai bahut raakh mere maazii kii
mai.n chuuk jaa.uu.n to vo u.ngliyaa.n jalaa legaa
Aziz Bano Darab Wafa
Sher
aate jaate pal ye kahte hai.n hamaare kaan me.n
kuuch kaa ailaan hone ko hai tayyaarii rakho
Rahat Indori
Sher
ye kaisaa dasht-e-tahayyur hai yaa.n se kuuch karo
hamaare paa.nv se raftaar khii.nchtaa hai ko.ii
Shahid Kamal
Sher
miir us qaazii ke lau.nDe ke liye aaKHir mu.aa
sab ko qaziya us ke jiine kaa thaa baare chuk gayaa
Meer Taqi Meer
Sher
Syed Saba Wasti
Sher
raas aa.ii hai na aa.egii ye duniyaa lekin
rok rakkhaa hai mujhe kuuch kii tayyaarii ne
Ghulam Husain Sajid
Sher
ab to zaahid bhii ye kahtaa hai ba.Dii chuuk hu.ii
jaam me.n thii mai-e-kausar mujhe ma.aluum na thaa
Jaleel Manikpuri
Sher
husn baazaar kii ziinat hai magar hai to sahii
ghar se niklaa huu.n to us chauk se bhii ho aa.uu.n
Shahzad Ahmad
Sher
koyal nii.n aa ke kuuk sunaa.ii basant rut
bauraa.e KHaas-o-aam ki aa.ii basant rut
Abroo Shah Mubarak
Sher
doctor kii fees kaa sun kar mariiz-e-mohtaram
operation se hii pahle kuuch farmaa.e.nge kyaa
Syed Fahimuddin
Sher
kuuch karne kii gha.Dii hai magar ai ham-safro
ham udhar jaa nahii.n sakte jidhar sab ga.e hai.n