SEARCH RESULTS
Showing search results for ",NHAC"
Sher MATCHES FOR ",nHac"
Sher
Muztar Khairabadi
Sher
Meer Taqi Meer
Sher
Gam mujhe dete ho auro.n kii KHushii ke vaaste
kyuu.n bure bante ho tum naahaq kisii ke vaaste
Riyaz Khairabadi
Sher
kin niindo.n ab tuu sotii hai ai chashm-e-girya-naak
mizhgaa.n to khol shahr ko sailaab le gayaa
Meer Taqi Meer
Sher
Akbar Allahabadi
Sher
pak.De jaate hai.n farishto.n ke likhe par naa-haq
aadmii ko.ii hamaaraa dam-e-tahriir bhii thaa
Mirza Ghalib
Sher
jahaa.n me.n ho ga.ii naa-haq tirii jafaa badnaam
kuchh ahl-e-shauq ko daar-o-rasan se pyaar bhii hai
Aale Ahmad Suroor
Sher
mai-kasho mai kii kamii beshii pe naahaq josh hai
ye to saaqii jaantaa hai kis ko kitnaa hosh hai
Natiq Lakhnavi
Sher
tum naak cha.Dhaate ho mirii baat pe ai shaiKH
khii.nchuu.ngii kisii roz mai.n ab kaan tumhaare
Akbar Allahabadi
Sher
vo hai ba.Daa kariim rahiim us kii zaat hai
naahaq gunaahgaaro.n ko fikr-e-najaat hai
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
Mirza Ghalib
Sher
Ameer Minai
Sher
kho ke dil meraa tumhe.n naahaq pashemaanii hu.ii
tum se naadaanii hu.ii yaa mujh se naadaanii hu.ii
Jaleel Manikpuri
Sher
ai rahmat-e-tamaam karam jab hai.n be-shumaar
naa-haq mire gunaaho.n kaa phir kyuu.n hisaab ho
Unknown
Sher
sanam-KHaana jaataa huu.n tuu mujh ko naahaq
na bahkaa na bahkaa na bahkaa na bahkaa