SEARCH RESULTS
Showing search results for ",O9kE"
Sher MATCHES FOR ",o9ke"
Sher
us ke chehre kii chamak ke saamne saada lagaa
aasmaa.n pe chaa.nd puuraa thaa magar aadhaa lagaa
Iftikhar Naseem
Sher
sunaa hai us ke badan kii taraash aisii hai
ki phuul apnii qabaa.e.n katar ke dekhte hai.n
Ahmad Faraz
Sher
du.aa karo ki mai.n us ke liye du.aa ho jaa.uu.n
vo ek shaKHs jo dil ko du.aa saa lagtaa hai
Obaidullah Aleem
Sher
us ke dushman hai.n bahut aadmii achchhaa hogaa
vo bhii merii hii tarah shahr me.n tanhaa hogaa
Nida Fazli
Sher
kuchh nazar aataa nahii.n us ke tasavvur ke sivaa
hasrat-e-diidaar ne aa.nkho.n ko andhaa kar diyaa
Haidar Ali Aatish
Sher
tum us ke paas ho jis ko tumhaarii chaah na thii
kahaa.n pe pyaas thii dariyaa kahaa.n banaayaa gayaa
Yasir Khan Inam
Sher
Waseem Barelvi
Sher
Anwar Shuoor
Sher
Jaun Eliya
Sher
december kii sardii hai us ke hii jaisii
zaraa saa jo chhuu le badan kaa.nptaa hai
Amit Sharma Meet
Sher
us ke yuu.n tark-e-mohabbat kaa sabab hogaa ko.ii
jii nahii.n ye maantaa vo bevafaa pahle se thaa
Parveen Shakir
Sher
mil ga.e the ek baar us ke jo mere lab se lab
'umr bhar ho.nTo.n pe apne mai.n zabaa.n pheraa kiyaa