SEARCH RESULTS
Showing search results for ",T9ai"
Sher MATCHES FOR ",T9ai"
Sher
kahaa.n to tai thaa charaaGaa.n har ek ghar ke liye
kahaa.n charaaG mayassar nahii.n shahar ke liye
Dushyant Kumar
Sher
aaj tak jo bhii hu.aa us ko bhulaa denaa hai
aaj se tai hai ki dushman ko du.aa denaa hai
Wali Aasi
Sher
be-naam se ik KHauf se dil kyuu.n hai pareshaa.n
jab tai hai ki kuchh vaqt se pahle nahii.n hogaa
Shahryar
Sher
zindagii apnaa safar tai to karegii lekin
ham-safar aap jo hote to mazaa aur hii thaa
Ameeta Parsuram Meeta
Sher
zindagii ab ke miraa naam na shaamil karnaa
gar ye tai hai ki yahii khel dobaara hogaa
Wasi Shah
Sher
mauquuf hai kyuu.n hashr pe insaaf hamaaraa
qissa jo yahaa.n kaa hai to phir tai bhii yahii.n ho
Mahboob Azmi
Sher
faasle aise ki ik umr me.n tai ho na sake.n
qurbate.n aisii ki KHud mujh me.n janam hai us kaa
Baqar Mehdi
Sher
zindagii apnaa safar tai to karegii lekin
ham-safar aap jo hote to mazaa aur hii thaa
Ameeta Parsuram Meeta
Sher
mas.ala ye hai ki us ke dil me.n ghar kaise kare.n
darmiyaa.n ke faasle kaa tai safar kaise kare.n
Farrukh Jafari
Sher
ye tai hu.aa thaa ki KHuub ro.e.nge jab mile.nge
ab us ke shaane pe sar hai to ha.nste jaa rahe hai.n
Pallav Mishra
Sher
tirii talaash me.n nikle to itnii duur ga.e
ki ham se tai na hu.e faasle judaa.ii ke
Junaid Hazin Lari
Sher
marne ko mar bhii jaa.uu.n ko.ii mas.ala nahii.n
lekin ye tai to ho ki abhii jii rahaa huu.n mai.n
Nafas Ambalvi
Sher
go kaThin hai tai karnaa umr kaa safar tanhaa
lauT kar na dekhuu.ngaa chal pa.Daa agar tanhaa
Anwar Shuoor
Sher
vajuud apnaa hai aur aap tai kare.nge ham
kahaa.n pe honaa hai ham ko kahaa.n nahii.n honaa
Liaqat Jafri
Sher
apne hii saa.e se har gaam laraz jaataa huu.n
mujh se tai hii nahii.n hotii hai masaafat merii