SEARCH RESULTS
Showing search results for ",Ta0o"
Sher MATCHES FOR ",Ta0o"
Sher
dillii me.n aaj bhiik bhii miltii nahii.n unhe.n
thaa kal talak dimaaG jinhe.n taaj-o-taKHt kaa
Meer Taqi Meer
Sher
tamaam jism ko aa.nkhe.n banaa ke raah tako
tamaam khel mohabbat me.n intizaar kaa hai
Munawwar Rana
Sher
va.ado.n hii pe har roz mirii jaan na Taalo
hai eid kaa din ab to gale ham ko lagaa lo
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
apnaa har andaaz aa.nkho.n ko tar-o-taaza lagaa
kitne din ke baa'd mujh ko aa.iina achchhaa lagaa
Zehra Nigaah
Sher
is pe hairaa.n hai.n KHariidaar ki qiimat hai bahut
mere gauhar kii tab-o-taab nahii.n dekhte hai.n
Anees Ashfaq
Sher
Ahmad Shahryar
Sher
Sarvat Husain
Sher
baat karne me.n jo lab us ke hu.e zer-o-zabar
ek saa.at me.n tah-o-baalaa zamaana ho gayaa
Bhartendu Harishchandra
Sher
bhaav taa.o me.n kamii beshii nahii.n ho saktii
haa.n magar tujh se KHariidaar ko naa kaise ho
Afzal Khan
Sher
hijr-e-jaanaa.n ke alam me.n ham farishte ban ga.e
dhyaan muddat se chhuTaa aab-o-ta.aam-o-KHvaab kaa
Muneer Shikohabadi
Sher
dard tuu mere paas se marte talak na jaa.iyo
taaqat-e-sabr ho na ho taab-o-qaraar ho na ho
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
zindagii ishq-o-mohabbat se javaa.n hotii hai
varna be-kaif sii be-taab-o-tavaa.n hotii hai
Gulam Nabi Hakeem
Sher
Nazeer Akbarabadi
Sher
Masroor Shahjahanpuri
Sher
kaafir samaa rahaa hai saarang kaa ye lahraa
table kii taal-o-sam ke har har paran ke andar
Insha Allah Khan Insha
Sher
kisii kaa naam tere naam se mansuub hai varna
mai.n tere naam kaa tattoo kalaa.ii me.n banaa letaa
Amit Goswami
Sher
taab-o-taaqat rahe kyaa KHaak ki a.azaa ke ta.ii.n
haakim-e-zo.af se farmaan-e-taG.iirii aayaa