SEARCH RESULTS
Showing search results for ",ZNND"
Sher MATCHES FOR ",znnD"
Sher
kii mire qatl ke baa'd us ne jafaa se tauba
haa.e us zuud-pashiimaa.n kaa pashiimaa.n honaa
Mirza Ghalib
Sher
us hijr pe tohmat ki jise vasl kii zid ho
us dard pe la.anat kii jo ash.aar me.n aa jaa.e
Vipul Kumar
Sher
zamiin itnii nahii.n hai ki paa.nv rakh paa.e.n
dil-e-KHaraab kii zid hai ki ghar banaayaa jaa.e
Tariq Naeem
Sher
jugnuu ko din ke vaqt parakhne kii zid kare.n
bachche hamaare ahd ke chaalaak ho ga.e
Parveen Shakir
Sher
idhar falak ko hai zid bijliyaa.n giraane kii
udhar hame.n bhii hai dhun aashiyaa.n banaane kii
Unknown
Sher
agar ye zid hai ki mujh se du.aa salaam na ho
to aisii raah se guzro jo raah-e-aam na ho
Jamill Murassapuri
Sher
Munawwar Rana
Sher
sabaq milaa hai ye meraaj-e-mustafaa se mujhe
ki aalam-e-bashariiyat kii zad me.n hai garduu.n
Allama Iqbal
Sher
Majrooh Sultanpuri
Sher
Rajesh Reddy
Sher
sab ke liye savaal ye kab hai ki kyaa na ho
un ko to mujh se zid hai ki meraa kahaa na ho
Raees Rampuri
Sher
dil kii zid is liye rakh lii thii ki aa jaa.e qaraar
kal ye kuchh aur kahegaa mujhe ma.aluum na thaa
Arzoo Lakhnavi
Sher
hai.n pattharo.n kii zad pe tumhaarii galii me.n ham
kyaa aa.e the yahaa.n isii barsaat ke liye
Anwar Shuoor
Sher
ye jo ham log hai.n ehsaas me.n jalte hu.e log
ham zamii.n-zaad na hote to sitaare hote
Wahid Ejaz Meer
Sher
dil ek aur hazaar aazmaa.ishe.n Gam kii
diyaa jalaa to thaa lekin havaa kii zad par thaa