SEARCH RESULTS
Showing search results for ",bEGm"
Sher MATCHES FOR ",beGm"
Sher
shah-zor apne zor me.n girtaa hai misl-e-barq
vo tifl kyaa giregaa jo ghuTno.n ke bal chale
Mirza Azeem Beg 'Azeem'
Sher
Navab Sultan Jahan Begam
Sher
din kaTaa fariyaad se aur raat zaarii se kaTii
umr kaTne ko kaTii par kitnii KHvaarii se kaTii
Dulhan Begum
Sher
begam bhii hai.n kha.Dii hu.ii maidaan-e-hashr me.n
mujh se mire gunah kaa hisaab ai KHudaa na maa.ng
Hashim Azimabadi
Sher
Anwar Masood
Sher
is zindagii ne saath kisii kaa nahii.n diyaa
kis bevafaa se tujh ko tamannaa vafaa kii hai
Rasool Jahan Begam Makhfi Badayuni
Sher
bahaa hai phuuT ke aa.nkho.n se aabla dil kaa
tarii kii raah se jaataa hai qaafila dil kaa
Dulhan Begum
Sher
mat karo fikr imaarat kii ko.ii zer-e-falak
KHaana-e-dil jo giraa hai use ta.amiir karo
Dulhan Begum
Sher
beTe ko cheque samajh liyaa state-bank kaa
samdhii talaash karne lage high rank kaa
Mirza Mustafa Ali Beg
Sher
kahte ho tum na ghar mire aayaa kare ko.ii
par dil na rah sake to bhalaa kyaa kare ko.ii
Zebun-nisa Begum Makhfi
Sher
hai KHushii apnii vahii jo kuchh KHushii hai aap kii
hai vahii manzuur jo kuchh aap ko manzuur ho
Mirza Maseeta Beg Muntahi
Sher
KHud rahm kiijiye dil-e-ummiid-vaar par
aaphii nikaaliye ko.ii suurat nibaah kii
Mirza Maseeta Beg Muntahi
Sher
naadaan kah rahe hai.n jise aaftaab-e-hashr
zarra hai us ke ruu-e-daraKHshaa.n ke saamne
Rajab Ali Beg Suroor
Sher
itne kam-zarf nahii.n ham jo bahakte jaave.n
misl-e-gul jaave.n jidhar jaave.n mahakte jaave.n
Dulhan Begum
Sher
sadaa-bahaar ho tum aur merii qismat ho
ko.ii bahaar na thii is bahaar se pahle