SEARCH RESULTS
Showing search results for ",cpfi"
Sher MATCHES FOR ",cpfi"
Sher
ek hii haadsa to hai aur vo ye ki aaj tak
baat nahii.n kahii ga.ii baat nahii.n sunii ga.ii
Jaun Eliya
Sher
mai.n mai-kade kii raah se ho kar nikal gayaa
varna safar hayaat kaa kaafii taviil thaa
Abdul Hamid Adam
Sher
ye kaafii hai ki ham dushman nahii.n hai.n
vafaa-daarii kaa da.avaa kyuu.n kare.n ham
Jaun Eliya
Sher
Shauq Bahraichi
Sher
shaam hote hii charaaGo.n ko bujhaa detaa huu.n
dil hii kaafii hai tirii yaad me.n jalne ke liye
Unknown
Sher
shahr ke a.ndhere ko ik charaaG kaafii hai
sau charaaG jalte hai.n ik charaaG jalne se
Ehtisham Akhtar
Sher
Nida Fazli
Sher
bichh.De logo.n se mulaaqaat kabhii phir hogii
dil me.n ummiid to kaafii hai yaqii.n kuchh kam hai
Shahryar
Sher
kaafii hai mire dil kii tasallii ko yahii baat
aap aa na sake aap kaa paiGaam to aayaa
Shakeel Badayuni
Sher
Munawwar Rana
Sher
agar palak pe hai motii to ye nahii.n kaafii
hunar bhii chaahiye alfaaz me.n pirone kaa
Javed Akhtar
Sher
terii aa.nkho.n ke liye itnii sazaa kaafii hai
aaj kii raat mujhe KHvaab me.n rotaa hu.aa dekh
Abhishek Shukla
Sher
ko.ii fariyaad tire dil me.n dabii ho jaise
tuu ne aa.nkho.n se ko.ii baat kahii ho jaise
Faaiz Anwar
Sher
tujh se qismat me.n mirii suurat-e-qufl-e-abjad
thaa likhaa baat ke bante hii judaa ho jaanaa
Mirza Ghalib
Sher
jo dil ne kahii lab pe kahaa.n aa.ii hai dekho
ab mahfil yaaraa.n me.n bhii tanhaa.ii hai dekho
Zehra Nigaah
Sher
ham aise ahl-e-nazar ko subuut-e-haq ke liye
agar rasuul na hote to sub.h kaafii thii