SEARCH RESULTS
Showing search results for ",dkAn"
Sher MATCHES FOR ",dkan"
Sher
Bahadur Shah Zafar
Sher
Munawwar Rana
Sher
Shakeb Jalali
Sher
Shaikh Ibrahim Zauq
Sher
vo itr-daan saa lahja mire buzurgo.n kaa
rachii-basii hu.ii urdu zabaan kii KHushbuu
Bashir Badr
Sher
ghar me.n rahte hu.e Gairo.n kii tarah hotii hai.n
la.Dkiyaa.n dhaan ke paudo.n kii tarah hotii hai.n
Munawwar Rana
Sher
nigaah-e-shauq agar dil kii tarjumaa.n ho jaa.e
to zarra zarra mohabbat kaa raaz-daa.n ho jaa.e
Haya Lakhnavi
Sher
malbuus KHush-numaa hai.n magar jism khokhle
chhilke saje ho.n jaise phalo.n kii dukaan par
Shakeb Jalali
Sher
Allama Iqbal
Sher
zikr us parii-vash kaa aur phir bayaa.n apnaa
ban gayaa raqiib aaKHir thaa jo raaz-daa.n apnaa
Mirza Ghalib
Sher
nigaah pa.Dne na paa.e yatiim bachcho.n kii
zaraa chhupaa ke khilaune dukaan me.n rakhnaa
Mahboob Zafar
Sher
pukaarte the mujhe aasmaa.n magar mai.n ne
qayaam karne ko ye KHaak-daa.n pasand kiyaa
Inam Nadeem
Sher
ruu-ba-ruu kar ke kabhii apne mahakte surKH ho.nT
ek do pal ke liye gul-daan kar degaa mujhe
Zafar Iqbal
Sher
vahshat-e-dil ke KHariidaar bhii naapaid hu.e
kaun ab ishq ke baazaar me.n kholegaa dukaa.n
Ibn۔e۔Insha
Sher
pahle pahle havas ik-aadh dukaa.n kholtii hai
phir to baazaar ke baazaar se lag jaate hai.n