SEARCH RESULTS
Showing search results for ",ewwo"
Sher MATCHES FOR ",ewwo"
Sher
jo ko.ii aave hai nazdiik hii baiThe hai tire
ham kahaa.n tak tire pahluu se sarakte jaave.n
Meer Hasan
Sher
puuchh rahe hai.n mujh se pe.Do.n ke saudaagar
aab-o-havaa kaise zahriilii ho jaatii hai
Alam Khursheed
Sher
dard ulfat kaa na ho to zindagii kaa kyaa mazaa
aah-o-zaarii zindagii hai be-qaraarii zindagii
Ghulam Bhik Nairang
Sher
eid tuu aa ke mire jii ko jalaave afsos
jis ke aane kii KHushii ho vo na aave afsos
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
farishta hai to taqaddus tujhe mubaarak ho
ham aadmii hai.n to aib-o-hunar bhii rakhte hai.n
Dil Ayubi
Sher
Ameer Khusrau
Sher
hai ashk-o-aah raas hamaare mizaaj ko
ya.anii pale hu.e isii aab-o-havaa ke hai.n
Ismail Merathi
Sher
aa andaliib mil ke kare.n aah-o-zaariyaa.n
tuu haa.e gul pukaar mai.n chillaa.uu.n haa.e dil
Rind Lakhnavi
Sher
aasmaano.n pe u.Do zehn me.n rakkho ki jo chiiz
KHaak se uThtii hai vo KHaak pe aa jaatii hai
Fartash Syed
Sher
de mujh ko shikaayat kii ijaazat ki sitamgar
kuchh tujh ko maza bhii mire aazaar me.n aave
Mirza Ghalib
Sher
abhii kahe.n to kisii ko na e'tibaar aave
ki ham ko raah me.n ik aashnaa ne luuT liyaa
Nazeer Akbarabadi
Sher
aap hii kii hai adaalat aap hii munsif bhii hai.n
ye to kahiye aap ke aib-o-hunar dekhegaa kaun
Manzar Bhopali
Sher
shohrat kii fazaa.o.n me.n itnaa na u.Do 'saaGar'
parvaaz na kho jaa.e in uu.nchii u.Daano.n me.n
Saghar Azmi
Sher
sukuun luTtaa rahegaa fazaa hii aisii hai
tumhaare shahr kii aab-o-havaa hii aisii hai
Asad Rizvi
Sher
saa.e kii tarah saath phire.n sarv o sanobar
tuu is qad-e-dilkash se jo gulzaar me.n aave