SEARCH RESULTS
Showing search results for ",fQOG"
Sher MATCHES FOR ",fqoG"
Sher
log achchhe hai.n bahut dil me.n utar jaate hai.n
ik buraa.ii hai to bas ye hai ki mar jaate hai.n
Rais Farogh
Sher
us ke faroG-e-husn se jhamke hai sab me.n nuur
sham-e-haram ho yaa ki diyaa somnaat kaa
Meer Taqi Meer
Sher
Rais Farogh
Sher
meraa bhii ek baap thaa achchhaa saa ek baap
vo jis jagah pahu.nch ke maraa thaa vahii.n huu.n mai.n
Rais Farogh
Sher
husn ko husn banaane me.n miraa haath bhii hai
aap mujh ko nazar-andaaz nahii.n kar sakte
Rais Farogh
Sher
mausam-e-holii hai din aa.e hai.n rang aur raag ke
ham se tum kuchh maa.ngne aa.o bahaane phaag ke
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
apne haalaat se mai.n sulh to kar luu.n lekin
mujh me.n ruu-posh jo ik shaKHs hai mar jaa.egaa
Rais Farogh
Sher
ruKHsaar par hai ra.ng-e-hayaa kaa faroG aaj
bose kaa naam mai.n ne liyaa vo nikhar ga.e
Hakim Mohammad Ajmal Khan Shaida
Sher
Rais Farogh
Sher
ishq vo kaar-e-musalsal hai ki ham apne liye
ek lamha bhii pas-andaaz nahii.n kar sakte
Rais Farogh
Sher
aa.egaa mere baa'd 'faroG' in kaa zamaana
jis daur kaa mai.n huu.n mire ash.aar nahii.n hai.n
Rais Farogh
Sher
mai.n muntazir huu.n terii tamannaa liye hu.e
aa jaa faroG-e-husn kii duniyaa liye hu.e
Akhtar Orenvi
Sher
ye tirii mast-nigaahii ye faroG-e-mai-o-jaam
aaj saaqii tire rindo.n se adab mushkil hai
Bahauddin Kaleem
Sher
ik nau-bahaar-e-naaz ko taake hai phir nigaah
chehra faroG-e-mai se gulistaa.n kiye hu.e
Mirza Ghalib
Sher
yaad-e-faroG-e-dast-e-hinaa.ii na puuchhiye
har zaKHm-e-dil ko rashk-e-namak-daa.n banaa diyaa
Haneef akhgar
Sher
ye mai-kada hai kaliisaa o KHaanqaah nahii.n
uruuj-e-fikr o faroG-e-nazar kii manzil hai