SEARCH RESULTS
Showing search results for ",isMa"
Sher MATCHES FOR ",isma"
Sher
Saima Esma
Sher
na-jaane kaisii nigaaho.n se maut ne dekhaa
hu.ii hai nii.nd se bedaar zindagii ki mai.n huu.n
Saima Esma
Sher
naqsh jab zaKHm banaa zaKHm bhii naasuur hu.aa
jaa ke tab ko.ii masiihaa.ii pe majbuur hu.aa
Saima Esma
Sher
kabhii kabhii to achchhaa-KHaasaa chalte chalte
yuu.n lagtaa hai aage rasta ko.ii nahii.n hai
Saima Esma
Sher
aaj sochaa hai ki KHud raste banaanaa siikh luu.n
is tarah to umr saarii sochtii rah jaa.uu.ngii
Saima Esma
Sher
Saima Esma
Sher
palko.n pe Gam-e-hijr ke sab diip jalaa.e
nii.ndo.n ke shabistaan me.n bhaarii mirii aa.nkhe.n
Isma Hadia
Sher
Saima Esma
Sher
ek muddat se tirii yaad bhii aa.ii na hame.n
aur ham bhuul ga.e ho.n tujhe aisaa bhii nahii.n
Firaq Gorakhpuri
Sher
us ke chehre kii chamak ke saamne saada lagaa
aasmaa.n pe chaa.nd puuraa thaa magar aadhaa lagaa
Iftikhar Naseem
Sher
kabhii kisii ko mukammal jahaa.n nahii.n miltaa
kahii.n zamiin kahii.n aasmaa.n nahii.n miltaa
Nida Fazli
Sher
aasmaa.n itnii bulandii pe jo itraataa hai
bhuul jaataa hai zamii.n se hii nazar aataa hai
Waseem Barelvi
Sher
aa.iina kyuu.n na duu.n ki tamaashaa kahe.n jise
aisaa kahaa.n se laa.uu.n ki tujh saa kahe.n jise
Mirza Ghalib
Sher
baare duniyaa me.n raho Gam-zada yaa shaad raho
aisaa kuchh kar ke chalo yaa.n ki bahut yaad raho
Meer Taqi Meer
Sher
jahaa.n me.n hone ko ai dost yuu.n to sab hogaa
tire labo.n pe mire lab ho.n aisaa kab hogaa
Shahryar
Sher
Hafeez Jalandhari
Sher
tire va.ado.n pe kahaa.n tak miraa dil fareb khaa.e
ko.ii aisaa kar bahaana mirii aas TuuT jaa.e