SEARCH RESULTS
Showing search results for ",itVH"
Sher MATCHES FOR ",itvH"
Sher
uTh kar to aa ga.e hai.n tirii bazm se magar
kuchh dil hii jaantaa hai ki kis dil se aa.e hai.n
Faiz Ahmad Faiz
Sher
ajiib hote hai.n aadaab-e-ruKHsat-e-mahfil
ki vo bhii uTh ke gayaa jis kaa ghar na thaa ko.ii
Sahar Ansari
Sher
ab sochte hai.n laa.e.nge tujh saa kahaa.n se ham
uThne ko uTh to aa.e tire aastaa.n se ham
Majrooh Sultanpuri
Sher
Seemab Akbarabadi
Sher
uTh ga.ii hai.n saamne se kaisii kaisii suurate.n
ro.iye kis ke liye kis kis kaa maatam kiijiye
Haidar Ali Aatish
Sher
phir baiThe baiThe vaada-e-vasl us ne kar liyaa
phir uTh kha.Daa hu.aa vahii rog intizaar kaa
Ameer Minai
Sher
daaman jhaTak ke vaadii-e-Gam se guzar gayaa
uTh uTh ke dekhtii rahii gard-e-safar mujhe
Ali Sardar Jafri
Sher
aa.e bhii log baiThe bhii uTh bhii kha.De hu.e
mai.n jaa hii Dhuu.nDtaa tirii mahfil me.n rah gayaa
Haidar Ali Aatish
Sher
uTh kar tire dar se kahii.n jaane ke nahii.n ham
mohtaaj kisii aur Thikaane ke nahii.n ham
Rasheed Rampuri
Sher
phuulo.n kii sej par zaraa aaraam kyaa kiyaa
us gul-badan pe naqsh uTh aa.e gulaab ke