SEARCH RESULTS
Showing search results for ",ol0V"
Sher MATCHES FOR ",ol0v"
Sher
ab kii sardii me.n kahaa.n hai vo alaav siina
ab kii sardii me.n mujhe KHud ko jalaanaa hogaa
Naeem Sarmad
Sher
badan pe pairahan-e-KHaak ke sivaa kyaa hai
mire alaav me.n ab raakh ke sivaa kyaa hai
Himayat Ali Shayar
Sher
mai.n lau me.n lau huu.n, alaav me.n huu.n alaav 'nadiim'
so har charaaG miraa e'tiraaf kartaa rahaa
Nadeem Bhabha
Sher
kisii alaav kaa sho.ala bha.Dak ke boltaa hai
safar kaThin hai magar ek baar aaKHirii baar
Saud Usmani
Sher
hamaare gaa.nv se baarish KHuluus kii le jaa
ki tere shahr kaa sab kuchh alaav par hogaa
Imtiyaz Ahmad Qamar
Sher
kaa.enaato.n kaa alaav sard hotaa jaa rahaa hai
zindagii kaa sabz pattaa zard hotaa jaa rahaa hai