SEARCH RESULTS
Showing search results for ",tCti"
Sher MATCHES FOR ",tcti"
Sher
qismat to dekh TuuTii hai jaa kar kahaa.n kamand
kuchh duur apne haath se jab baam rah gayaa
Qayem Chaandpuri
Sher
muntazir kis kaa huu.n TuuTii hu.ii dahliiz pe mai.n
kaun aa.egaa yahaa.n kaun hai aane vaalaa
Ahmad Faraz
Sher
gavaahii kaise TuuTtii mu.aamla KHudaa kaa thaa
miraa aur us kaa raabta to haath aur du.aa kaa thaa
Parveen Shakir
Sher
TuuTtii rahtii hai kachche dhaage sii nii.nd
aa.nkho.n ko ThanDak KHvaabo.n ko giraanii de
Zeb Ghauri
Sher
apnaa naam bhii ab to bhuul ga.ii 'naahiid'
ko.ii pukaare to hairat se taktii huu.n
Kishwar Naheed
Sher
nii.nd TuuTii hai to ehsaas-e-ziyaa.n bhii jaagaa
dhuup diivaar se aa.ngan me.n utar aa.ii hai
Sarshar Siddiqui
Sher
munhadim hotaa chalaa jaataa hai dil saal-ba-saal
aisaa lagtaa hai girah ab ke baras TuuTtii hai
Iftikhar Arif
Sher
rindo.n ke haath se nahii.n TuuTii ye saaqiyaa
nashshe me.n chuur ho ga.ii botal sharaab kii
Jaleel Manikpuri
Sher
Arzoo Lakhnavi
Sher
Khushbir Singh Shaad
Sher
ab bhii aatii hai tirii yaad pa is karb ke saath
TuuTtii nii.nd me.n jaise ko.ii sapnaa dekhaa
Akhtar Imam Rizvi
Sher
ai KHaak-e-vatan ab to vafaa.o.n kaa silaa de
mai.n TuuTtii saa.nso.n kii fasiilo.n pe kha.Daa huu.n
Javed Akram Farooqi
Sher
ho intizaar kisii kaa magar mirii nazre.n
na jaane kyuu.n tirii aamad kii raah taktii hai.n
Arshad Siddiqui
Sher
dhuup kii TuuTii hu.ii taKHtii pe baarish ne likhaa
ghar ke andar baiTh kar mausam kaa andaaza na kar
Aziz Nabeel
Sher
itnaa bhii baar-e-KHaatir-e-gulshan na ho ko.ii
TuuTii vo shaaKH jis pe miraa aashiyaana thaa