SEARCH RESULTS
Showing search results for "آئینہ_خانے"
Sher MATCHES FOR "آئینہ_خانے"
Sher
aa.iina-KHaane se daaman ko bachaa kar guzro
aa.iina TuuTaa to rezo.n me.n bikhar jaa.oge
Gulam jilani Asghar
Sher
aa.iina-KHaane me.n khii.nche liye jaataa hai mujhe
kaun merii hii adaalat me.n bulaataa hai mujhe
Aziz Bano Darab Wafa
Sher
go ab hazaar shakl se jalva kare ko.ii
apnaa to dil is aa.iina-KHaane se uTh gayaa
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
vo log mutma.in hai.n ki patthar hai.n un ke paas
ham KHush ki ham ne aa.iina-KHaane banaa.e hai.n
Ghulam Mohammad Qasir
Sher
Ahmad Shahryar
Sher
banaayaa to.D ke aa.iina aa.iina-KHaana
na dekhii raah jo KHalvat se anjuman kii taraf
Nazm Tabatabai
Sher
banaa rahaa huu.n abhii ghar ko aa.ina-KHaana
phir apne haath me.n patthar bhii dekhnaa hai mujhe
Arif Imam
Sher
kuchh roz abhii aur hai ye aa.ina-KHaana
kuchh roz abhii aur mai.n hairat me.n rahuu.ngaa
Inam Nadeem
Sher
kahiyo KHud-bii.n se ki aa.iine me.n tanhaa mat baiTh
KHatar aaseb kaa rahtaa hai parii-KHaane me.n
Ishq Aurangabadi
Sher
saare imkaanaat me.n raushan sirf yahii do pahluu
ek tiraa aa.iina-KHaana ik merii hairaanii
Mohammad Ahmad Ramz
Sher
Qaisar Nizami
Sher
vo haTe aa.nkh ke aage se to bas suurat-e-aks
mai.n bhii is aa.iina-KHaana se nikal jaa.uu.ngaa
Bayan Meeruthi
Sher
kyaa kare.n aa.nkh agar us se sivaa chaahtii hai
ye jahaan-e-guzaraa.n aa.ina-KHaana hii sahii
Sameena Raja
Sher
vo aa.ina-tan aa.iina phir kis liye dekhe
jo dekh le mu.nh apnaa har ik uzv-e-badan me.n
Munawar Khan Ghafil
Sher
aks se apne vo yuu.n kahte hai.n aa.iine me.n
aap achchhe hai.n magar aap se achchhaa mai.n huu.n
Hijr Nazim Ali Khan
Sher
band kar de ko.ii maazii kaa dariicha mujh par
ab is aa.iine me.n suurat nahii.n dekhii jaatii
Akhtar Saeed Khan
Sher
Haneef akhgar
Sher
misaal-e-aa.ina ham jab se hairatii hai.n tire
ki jin dino.n me.n na thaa tuu si.ngaar se vaaqif