SEARCH RESULTS
Showing search results for "آئینۂ_خودی"
Sher MATCHES FOR "آئینۂ_خودی"
Sher
aa.iina KHud bhii sa.nvartaa thaa hamaarii KHaatir
ham tire vaaste tayyaar hu.aa karte the
Saleem Kausar
Sher
terii takmiil kii KHaatir hii faqat aa.iine
KHud ko tayyaar kiyaa jaa.e zaruurii to nahii.n
Parveen Shaghaf
Sher
KHud par bhii kholiye na kabhii dil kii vaardaat
aa.iina saamne ho to chehra chhupaa.iye
Shahzad Ahmad
Sher
aa.iina mujh ko dekh ke hairat-zada hu.aa
KHud hii jamaal-e-yaar kaa mai.n aa.ina hu.aa
Faisal Qadri Gunnauri
Sher
mai.n KHud ko bhuul chukaa thaa magar jahaa.n vaale
udaas chho.D ga.e aa.iina dikhaa ke mujhe
Ahmad Faraz
Sher
KHud ko kabhii na dekhaa aa.iine hii ko dekhaa
ham se to kyaa ki KHud se naa-aashnaa rahaa hai
Qalaq Merathi
Sher
KHud mirii aa.nkho.n se ojhal merii hastii ho ga.ii
aa.iina to saaf hai tasviir dhundlii ho ga.ii
Muzaffar Warsi
Sher
Taban Abdul Hai
Sher
Muneer Niyazi
Sher
apne jalve kaa vo KHud aap tamaashaa.ii hai
aa.iine us ne lagaa rakkhe hai.n diivaaro.n me.n
Bekhud Dehlvi
Sher
Wali Uzlat
Sher
KHud-numaa.ii ke saliiqe abhii kam aate hai.n
aa.iinaa haath se rakh diijiye ham aate hai.n
Alam Fatehpuri
Sher
KHud apnii shakl dekhe ek muddat ho ga.ii mujh ko
uThaa letaa hai patthar TuuTe aa.iine nahii.n detaa
Khalid Iqbal Yasir
Sher
jis par nazar pa.De use KHud se nikaalnaa
raushan-dilo.n kaa kaam hai maanind-e-aa.iina
Wali Uzlat
Sher
Raghib Akhtar
Sher
aaj aa.iine me.n KHud ko dekh kar yaad aa gayaa
ek muddat ho ga.ii jis shaKHs ko dekhe hu.e
Azad Gulati
Sher
kyaa raat ke aashob me.n vo KHud se la.Daa thaa
aa.iine ke chehre pe KHaraashe.n sii pa.Dii hai.n