SEARCH RESULTS
Showing search results for "آستین"
Sher MATCHES FOR "آستین"
Sher
jo dosto.n kii mohabbat se jii nahii.n bhartaa
to aastiin me.n do-chaar saa.np paal ke rakh
Anjum Barabankvi
Sher
puraanaa zahr na.e naam se milaa hai mujhe
vo aastiin nahii.n ke.nchulii badal rahaa thaa
Anjum Saleemi
Sher
ham maante hai.n aap ba.De Gam-gusaar hai.n
lekin ye aastiin me.n kyaa hai dikhaa.iye
Iqbal Azeem
Sher
aastiin-e-sabr se baahar na niklegaa agar
hogii dast-e-Gaib kii suurat hamaare haath me.n
Muneer Shikohabadi
Sher
aastiin-e-mauj dariyaa se judaa hotii nahii.n
rabt teraa chashm se kyuu.n aastii.n jaataa rahaa
Jurat Qalandar Bakhsh
Sher
ab aastiin ke saa.npo.n se duur rahnaa hai
use kaho na kare phone baar baar mujhe
Amaan Ali Khan
Sher
na aastiin me.n KHanjar na lab pe shiiriinii
ye kaise 'aql ke dushman se dostii hu.ii hai
Shehzad Anjum Burhani
Sher
Saail Dehlvi
Sher
bahaana Dhuu.nDte rahte hai.n ko.ii rone kaa
hame.n ye shauq hai kyaa aastii.n bhigone kaa
Javed Akhtar
Sher
qaatil ne kis safaa.ii se dho.ii hai aastii.n
us ko KHabar nahii.n ki lahuu boltaa bhii hai
Iqbal Azeem
Sher
aastii.n us ne jo kuhnii tak cha.Dhaa.ii vaqt-e-sub.h
aa rahii saare badan kii be-hijaabii haath me.n
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
Ameer Minai
Sher
ye aastaan-e-yaar hai sehn-e-haram nahii.n
jab rakh diyaa hai sar to uThaanaa na chaahiye
Asghar Gondvi
Sher
Zafar Gorakhpuri
Sher
aa.nkho.n par apnii rakh kar saahil kii aastii.n ko
ham dil ke Duubne par aa.nsuu bahaa rahe hai.n
Siraj Lakhnavi
Sher
Qalaq Merathi
Sher
ham aastaan-e-KHudaa-e-suKHan pe baiThe the
so kuchh saliiqe se ab zindagii tabaah kare.n