SEARCH RESULTS
Showing search results for "آسودگی"
Sher MATCHES FOR "آسودگی"
Sher
ik chaa.nd hai aavaara-o-betaab o falak-taab
ik chaa.nd hai aasuudgii-e-hijr kaa maaraa
Syed Amin Ashraf
Sher
aasuudgii ne thapkiyaa.n de kar sulaa diyaa
ghar kii zaruurato.n ne jagaayaa to Dar lagaa
P P Srivastava Rind
Sher
aasuudgii kahaa.n jo dil-e-zaar saath hai
marne ke baa'd bhii yahii aazaar saath hai
Syed Mohammad Meer Asar
Sher
betaabii-e-hayaat me.n aasuudgii bhii thii
kuchh teraa Gam bhii thaa Gam-e-dauraa.n ke saath saath
Azeem Murtaza
Sher
shoriidgii ko hai.n sabhii aasuudgii nasiib
vo shahr me.n hai kyaa jo bayaabaan me.n nahii.n
Alamtaab Tishna
Sher
aasuudgii-aamoz ho jab aabla-paa.ii
ho jaatii hai manzil kii lagan dil me.n tapaa.n aur
Hameed Naseem
Sher
jiine vaalo.n se kaho ko.ii tamannaa Dhuu.nDe.n
ham to aasuuda-e-manzil hai.n hamaaraa kyaa hai
Mahmood Ayaz
Sher
kisii kii mehrbaanii se mohabbat mutma.in kyaa ho
mohabbat to mohabbat se bhii aasuuda nahii.n hotii
Nazeer Siddiqui
Sher
ahl-e-Gam tum ko mubaarak ho fanaa-aamaadgii
lekin iisaar-e-mohabbat jaan de denaa nahii.n
Firaq Gorakhpuri
Sher
dil kii aaluudgii-e-zaKHm ba.Dhii jaatii hai
saa.ns letaa huu.n to ab KHuun kii buu aatii hai
Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi
Sher
Umair Manzar
Sher
aisii aazurdagii kyaa thii hame.n is kuuche se
phir na aane kii jo ham khaa ke qasam nikle hai.n
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
jo chup lagaa.uu.n to sahraa kii KHaamushii jaage
jo muskuraa.uu.n to aazurdagii bhii sharmaa.e
Ibraheem Hosh
Sher
Abdul Rahman Bazmi
Sher
jaa kar fanaa ke us taraf aasuuda mai.n hu.aa
mai.n aalam-e-adam me.n bhii dekhaa maza na thaa
Wali Uzlat
Sher
galii me.n us kii hu.ii halq yaa.n tak aasuuda
ki ham ko jaa na milii paa daraaz karne ko