SEARCH RESULTS
Showing search results for "آشنا"
Sher MATCHES FOR "آشنا"
Sher
aa.e to yuu.n ki jaise hamesha the mehrbaan
bhuule to yuu.n ki goyaa kabhii aashnaa na the
Faiz Ahmad Faiz
Sher
kal tak to aashnaa the magar aaj Gair ho
do din me.n ye mizaaj hai aage kii KHair ho
Dagh Dehlvi
Sher
Chakbast Braj Narayan
Sher
Allama Iqbal
Sher
milte hai.n is adaa se ki goyaa KHafaa nahii.n
kyaa aap kii nigaah se ham aashnaa nahii.n
Hasrat Mohani
Sher
abhii kahe.n to kisii ko na e'tibaar aave
ki ham ko raah me.n ik aashnaa ne luuT liyaa
Nazeer Akbarabadi
Sher
bichha.Dne vaalo.n me.n ham jis se aashnaa kam the
na jaane dil ne use yaad kyuu.n ziyaada kiyaa
Mohsin Zaidi
Sher
Gairo.n ko kyaa pa.Dii hai ki rusvaa kare.n mujhe
in saazisho.n me.n haath kisii aashnaa kaa hai
Asad Badayuni
Sher
jaantaa huu.n kaun kyaa hai aap kyuu.n de.n mashvara
mai.n luTero.n se bhii vaaqif aur rahbar-aashnaa
Abbas Alvi
Sher
honaa hai dard-e-ishq se gar lazzat-aashnaa
dil ko KHaraab-e-talKHii-e-hijraa.n to kiijiye
Safiya Shamim
Sher
na ajnabii hai ko.ii aur na aashnaa ko.ii
akele-pan kii bhii hotii hai intihaa ko.ii
Jamal Ehsani
Sher
to.D kar ahd-e-karam naa-aashnaa ho jaa.iye
banda-parvar jaa.iye achchhaa KHafaa ho jaa.iye
Hasrat Mohani
Sher
aa.nkhe.n bhii haa.e naza.a me.n apnii badal ga.ii.n
sach hai ki bekasii me.n ko.ii aashnaa nahii.n
Khwaja Meer Dard
Sher
tere shabaab ne kiyaa mujh ko junuu.n se aashnaa
mere junuu.n ne bhar diye rang tirii shabaab me.n
Asar Sahbai
Sher
Momin Khan Momin
Sher
KHushii hai sab ko roz-e-eid kii yaa.n
hu.e hai.n mil ke baaham aashnaa KHush