SEARCH RESULTS
Showing search results for "آشنائی"
Sher MATCHES FOR "آشنائی"
Sher
gila likhuu.n mai.n agar terii bevafaa.ii kaa
lahuu me.n Garq safiina ho aashnaa.ii kaa
Mohammad Rafi Sauda
Sher
na to hosh se ta.aaruf na junuu.n se aashnaa.ii
ye kahaa.n pahu.nch ga.e hai.n tirii bazm se nikal ke
Khumar Barabankavi
Sher
Afzal Allahabadi
Sher
ajab ruuThe hu.e logo.n se apnii aashnaa.ii hai
na milne kaa hamesha ik bahaana saath rakhte hai.n
Aziz Nabeel
Sher
Khalilur Rahman Azmi
Sher
dilbaro.n ke shahr me.n begaanagii andher hai
aashnaa.ii Dhuu.nDtaa phirtaa huu.n mai.n le kar diyaa
Bayan Ahsanullah Khan
Sher
garche tark-e-aashnaa.ii ko zamaana ho gayaa
lekin ab tak chau.nk uThte hai.n vo mere naam se
Jaleel Manikpuri
Sher
vo mile to be-takalluf na mile to be-iraada
na tariiq-e-aashnaa.ii na rusuum-e-jaam-o-baadaa
Mohammad Deen Taseer
Sher
mujhe kamaal-e-suKHan se navaazne vaale
samaa'ato.n ko bhii ab zauq-e-aashnaa.ii de
Obaidullah Aleem
Sher
aa.e to yuu.n ki jaise hamesha the mehrbaan
bhuule to yuu.n ki goyaa kabhii aashnaa na the
Faiz Ahmad Faiz
Sher
kal tak to aashnaa the magar aaj Gair ho
do din me.n ye mizaaj hai aage kii KHair ho
Dagh Dehlvi
Sher
Chakbast Braj Narayan
Sher
is aalam-e-viiraa.n me.n kyaa anjuman-aaraa.ii
do roz kii mahfil hai ik umr kii tanhaa.ii