SEARCH RESULTS
Showing search results for "ابتدا"
Sher MATCHES FOR "ابتدا"
Sher
vahaa.n se hai mirii himmat kii ibtidaa vallaah
jo intihaa hai tire sabr aazmaane kii
Josh Malihabadi
Sher
ibtidaa vo thii ki jiinaa thaa mohabbat me.n muhaal
intihaa ye hai ki ab marnaa bhii mushkil ho gayaa
Jigar Moradabadi
Sher
na ibtidaa kii KHabar hai na intihaa ma.aluum
rahaa ye vahm ki ham hai.n so vo bhii kyaa ma.aluum
Fani Badayuni
Sher
suurat to ibtidaa se tirii laa-javaab thii
naaz-o-adaa ne aur tarah-daar kar diyaa
Jaleel Manikpuri
Sher
ibtidaa ye thii ki mai.n thaa aur da.avaa ilm kaa
intihaa ye hai ki is da.ave pe sharmaayaa bahut
Jagan Nath Azad
Sher
ibtidaa vo thii ki jiine ke liye martaa thaa mai.n
intihaa ye hai ki marne kii bhii hasrat na rahii
Mahirul Qadri
Sher
ye log ishq me.n sachche nahii.n hai.n varna hijr
na ibtidaa na kahii.n intihaa me.n aataa hai
Saleem Kausar
Sher
ibtidaa se aaj tak 'naatiq' kii ye hai sarguzisht
pahle chup thaa phir hu.aa diivaana ab behosh hai
Natiq Lakhnavi
Sher
hazaar manzil-e-Gam se guzar chuke lekin
abhii junuun-e-mohabbat kii ibtidaa bhii nahii.n
Ajmal Ajmali
Sher
daava-e-aashiqii hai to 'hasrat' karo nibaah
ye kyaa ke ibtidaa hii me.n ghabraa ke rah ga.e
Hasrat Mohani
Sher
Allama Iqbal
Sher
kahii.n ye tark-e-mohabbat kii ibtidaa to nahii.n
vo mujh ko yaad kabhii is qadar nahii.n aa.e