SEARCH RESULTS
Showing search results for "ابر"
Sher MATCHES FOR "ابر"
Sher
aur bhii dukh hai.n zamaane me.n mohabbat ke sivaa
raahate.n aur bhii hai.n vasl kii raahat ke sivaa
Faiz Ahmad Faiz
Sher
'Gaalib' chhuTii sharaab par ab bhii kabhii kabhii
piitaa huu.n roz-e-abr o shab-e-maahtaab me.n
Mirza Ghalib
Sher
bataa ai abr musaavaat kyuu.n nahii.n kartaa
hamaare gaa.nv me.n barsaat kyuu.n nahii.n kartaa
Tahzeeb Hafi
Sher
ham aah bhii karte hai.n to ho jaate hai.n badnaam
vo qatl bhii karte hai.n to charchaa nahii.n hotaa
Akbar Allahabadi
Sher
ye ek abr kaa Tuk.Daa kahaa.n kahaa.n barse
tamaam dasht hii pyaasaa dikhaa.ii detaa hai
Shakeb Jalali
Sher
buz-dilii hogii charaaGo.n ko dikhaanaa aa.nkhe.n
abr chhaT jaa.e to suuraj se milaanaa aa.nkhe.n
Shakeel Badayuni
Sher
Mirza Ghalib
Sher
barq ko abr ke daaman me.n chhupaa dekhaa hai
ham ne us shoKH ko majbuur-e-hayaa dekhaa hai
Hasrat Mohani
Sher
agar ho.n kachche gharo.ndo.n me.n aadmii aabaad
to ek abr bhii sailaab ke baraabar hai
Obaidullah Aleem
Sher
Kaifi Hyderabadi
Sher
barsaat kaa mazaa tire gesuu dikhaa ga.e
aks aasmaan par jo pa.Daa abr chhaa ga.e