SEARCH RESULTS
Showing search results for "ابرو"
Sher MATCHES FOR "ابرو"
Sher
raqiib qatl hu.aa us kii teG-e-abruu se
haraam-zaada thaa achchhaa hu.aa halaal hu.aa
Aagha Akbarabadi
Sher
abruu kaa ishaara kiyaa tum ne to hu.ii iid
ai jaan yahii hai mah-e-shavval hamaaraa
Hatim Ali Mehr
Sher
abruu na sa.nvaaraa karo kaT jaa.egii u.nglii
naadaan ho talvaar se khelaa nahii.n karte
Agha Shayar Qazalbash
Sher
zulfo.n me.n kiyaa qaid na abruu se kiyaa qatl
tuu ne to ko.ii baat na maanii mire dil kii
Imam Bakhsh Nasikh
Sher
Bahadur Shah Zafar
Sher
Garaz kisii se na ai dosto kabhuu rakhiyo
bas apne haath yahaa.n apnii abruu rakhiyo
Kaleem Aajiz
Sher
Syed Yusuf Ali Khan Nazim
Sher
Kishan Kumaar Waqaar
Sher
hamaaraa kaaba-e-maqsuud teraa taaq-e-abruu hai
tirii chashm-e-siyah ko ham ne aahu-e-haram paayaa
Haidar Ali Aatish
Sher
lagaa jab aks-e-abruu dekhne dildaar paanii me.n
baham har mauj se chalne lagii talvaar paanii me.n
Shah Naseer
Sher
kyuu.n shikan pa.D ga.ii hai abruu par
mai.n to kahtaa huu.n ek baat kii baat
Akhtar Ansari Akbarabadi
Sher
abruu aa.nchal me.n dupaTTe ke chhupaanaa hai bajaa
turk kyaa myaan me.n rakhte nahii.n talvaaro.n ko
Mardan Ali Khan Rana
Sher
mehraab-e-ibaadat KHam-e-abru hai buto.n kaa
kar baiThe hai.n ka.abe ko musalmaan faraamosh
Mubarak Azimabadi
Sher
namaaziyo.n ne tujh abruu ko dekh masjid me.n
ba-samt-e-qibla sujuud-o-qayaam bhuul ga.e
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
Siraj Aurangabadi
Sher
ghaaT par talvaar ke nahlaa.iiyo mayyat mirii
kushta-e-abruu huu.n mai.n kyaa Gusl-KHaana chaahiye
Asad Ali Khan Qalaq
Sher
'haatim' us zaalim ke abruu ko na chhe.D
haath kaT jaavegaa ai naadaa.n hai teG