SEARCH RESULTS
Showing search results for "اتارا"
Sher MATCHES FOR "اتارا"
Sher
suurmaa jis ke kinaaro.n se palaT aate hai.n
mai.n ne kashtii ko utaaraa hai usii paanii me.n
Sarvat Husain
Sher
Jalal Lakhnavi
Sher
Qamar Jalalvi
Sher
phir ko.ii vus.at-e-aafaaq pe saaya Daale
phir kisii aa.nkh ke nuqte me.n utaaraa jaa.uu.n
Adil Mansuri
Sher
apne liye tajviiz kii shamshiir-e-barhana
aur us ke liye shaaKH se ik phuul utaaraa
Sarvat Husain
Sher
utaaraa dil ke varaq par to kitnaa pachhtaayaa
vo intisaab jo pahle bas ik kitaab pe thaa
Aanis Moin
Sher
shab kii aaGosh me.n mahtaab utaaraa us ne
merii aa.ankho.n me.n ko.ii KHvaab utaaraa us ne
Azm Shakri
Sher
us shaKHs ne kal haato.n hii haato.n me.n falak par
sau baar cha.Dhaayaa mujhe sau baar utaaraa
Jurat Qalandar Bakhsh
Sher
jaane mai.n kaun thaa logo.n se bharii duniyaa me.n
merii tanhaa.ii ne shiishe me.n utaaraa hai mujhe
Faizi
Sher
maalik mujhe jahaa.n me.n utaaraa hai kis liye
aadam kii bhuul meraa KHasaara hai kis liye
Siraj Faisal Khan
Sher
aapsii rishto.n kii KHushbuu ko ko.ii naam na do
is taqaddus ko na kaaGaz par utaaraa jaa.e
Mahendra Partap Chand
Sher
un ko bhii utaaraa hai ba.De shauq se ham ne
jo naqsh abhii dil me.n utarne ke nahii.n the
Zakariya Shaz
Sher
zamii.n pe sirf utaaraa nahii.n 'muniir' us ne
phir us ke baa'd hamaaraa KHayaal bhii rakkhaa
Badr Muneer
Sher
aks-e-KHayaal-e-yaar sa.nvaaraa kare.nge ham
shiishe me.n aa.ine ko utaaraa kare.nge ham
Junaid Akhtar
Sher
tiraa firaaq to rizq-e-halaal hai mujh ko
ye phal paraa.e shajar se utaaraa tho.Dii hai