SEARCH RESULTS
Showing search results for "اجداد"
Sher MATCHES FOR "اجداد"
Sher
ham KHush hai.n hame.n dhuup viraasat me.n milii hai
ajdaad kahii.n pe.D bhii kuchh bo ga.e hote
Shahryar
Sher
jis ko bachaa.e rakhne me.n ajdaad bik ga.e
ham ne usii havelii ko niilaam kar diyaa
Mansoor Usmani
Sher
miinaar jo bachaa thaa zamii.n-bos ho gayaa
ajdaad ke saro.n kii alaamat bhii gir ga.ii
Suhail Arshad
Sher
apne darvaaze pe baiThaa sochtaa rahtaa huu.n mai.n
meraa ghar ajdaad kii baara-darii kaa karb hai
Kaleem Haider Sharar
Sher
apne ajdaad kii dastaar ko dekhaa aur phir
kar liyaa dil kii tamanna se kinaara mai.n ne
Sahar Alig
Sher
aa.nkhe.n na jiine de.ngii tirii be-vafaa mujhe
kyuu.n khi.Dkiyo.n se jhaa.nk rahii hai qazaa mujhe
Imdad Ali Bahr
Sher
saahil ke tamaashaa.ii har Duubne vaale par
afsos to karte hai.n imdaad nahii.n karte
Fana Nizami Kanpuri
Sher
afsos umr kaT ga.ii ra.nj-o-malaal me.n
dekhaa na KHvaab me.n bhii jo kuchh thaa KHayaal me.n
Imdad Imam Asar
Sher
dostii kii tum ne dushman se ajab tum dost ho
mai.n tumhaarii dostii me.n mehrbaa.n maaraa gayaa
Imdad Imam Asar
Sher
KHudaa aliim hai har shaKHs kii banaavaT kaa
kaho namaaziyo sajde kiye ki sar paTkaa
Imdad Ali Bahr
Sher
mushkil kaa saamnaa ho to himmat na haariye
himmat hai shart saahib-e-himmat se kyaa na ho
Imdad Imam Asar
Sher
Imdad Ali Bahr
Sher
Imdad Imam Asar
Sher
ta.Dap ta.Dap ke tamannaa me.n karvaTe.n badlii.n
na paayaa dil ne hamaare qaraar saarii raat
Imdad Imam Asar
Sher
husn hai daad-e-KHudaa ishq hai imdaad-e-KHudaa
Gair kaa daKHl nahii.n baKHt hai apnaa apnaa