SEARCH RESULTS
Showing search results for "ارتباط"
Sher MATCHES FOR "ارتباط"
Sher
jo to.D doge mujhe tum bhii TuuT jaa.oge
ki irtibaat-e-salaasil kii ik ka.Dii huu.n mai.n
Kausar Siwani
Sher
hai irtibaat-shikan daa.ero.n me.n baT jaanaa
chaman kaa mauja-e-baad-e-sabaa se kaT jaanaa
Syed Amin Ashraf
Sher
sa.ngat dilo.n kii jiivano.n marno.n kaa irtibaat
phir Dar pa.Daa thaa kyaa tujhe gird-o-navaah kaa
Nasir Shahzad
Sher
vo jhuuT bol rahaa thaa ba.De saliiqe se
mai.n e'tibaar na kartaa to aur kyaa kartaa
Waseem Barelvi
Sher
musaafiro.n se mohabbat kii baat kar lekin
musaafiro.n kii mohabbat kaa e'tibaar na kar
Umar Ansari
Sher
ab in huduud me.n laayaa hai intizaar mujhe
vo aa bhii jaa.e.n to aa.e na e'tibaar mujhe
Khumar Barabankavi
Sher
tire va.ade par jiye ham to ye jaan jhuuT jaanaa
ki KHushii se mar na jaate agar e'tibaar hotaa
Mirza Ghalib
Sher
kisii ko saal-e-nau kii kyaa mubaarakbaad dii jaa.e
calender ke badalne se muqaddar kab badaltaa hai
Aitbar Sajid
Sher
mirii zabaan ke mausam badalte rahte hai.n
mai.n aadmii huu.n miraa e'tibaar mat karnaa
Asim Wasti
Sher
jaaduu hai yaa tilism tumhaarii zabaan me.n
tum jhuuT kah rahe the mujhe e'tibaar thaa
Bekhud Dehlvi
Sher
mai.n ab kisii kii bhii ummiid to.D saktaa huu.n
mujhe kisii pe bhii ab ko.ii e'tibaar nahii.n
Jawad Sheikh
Sher
ek hii shahr me.n rahnaa hai magar milnaa nahii.n
dekhte hai.n ye aziyyat bhii gavaara kar ke
Aitbar Sajid
Sher
va.ade kaa e'tibaar to hai vaaqa.ii mujhe
ye aur baat hai ki ha.nsii aa ga.ii mujhe