SEARCH RESULTS
Showing search results for "ارزاں"
Sher MATCHES FOR "ارزاں"
Sher
dosto.n se ye kahuu.n kyaa ki mirii qadr karo
abhii arzaa.n huu.n kabhii paa.oge naayaab mujhe
Saba Akbarabadi
Sher
Ahmaq Phaphoondvi
Sher
mataa-e-dil bahut arzaa.n hai kyuu.n nahii.n lete
ki ek bose pe saudaa hai ab to aa Thahraa
Shah Naseer
Sher
baat ba.Dhtii ga.ii aage mirii naadaanii se
kitnaa arzaa.n hu.aa mai.n apnii faraavaanii se
Ghulam Murtaza Rahi
Sher
partav-e-husn se zarre bhii bane aa.iine
kitne jalve kiye arzaa.n tirii ra.anaa.ii ne
Figar Unnavi
Sher
kis darja dil-shikan the mohabbat ke haadse
ham zindagii me.n phir ko.ii armaa.n na kar sake
Sahir Ludhianvi
Sher
Akhtar Shirani
Sher
dil me.n vo bhii.D hai ki zaraa bhii nahii.n jagah
aap aa.iye magar ko.ii armaa.n nikaal ke
Jaleel Manikpuri
Sher
Tasleem Fazli
Sher
ai jalva-e-jaanaana phir aisii jhalak dikhlaa
hasrat bhii rahe baaqii armaa.n bhii nikal jaa.e
Fana Nizami Kanpuri
Sher
Natiq Lakhnavi
Sher
'ehsaan' aisaa talKH javaab-e-vafaa milaa
ham is ke baa'd phir ko.ii armaa.n na kar sake
Ehsan Danish
Sher
ashko.n ke tasalsul ne chhupaayaa tan-e-uryaa.n
ye aab-e-ravaa.n kaa hai nayaa pairahan apnaa
Nazeer Akbarabadi
Sher
is tarah kar gayaa dil ko mire viiraa.n ko.ii
na tamannaa ko.ii baaqii hai na armaa.n ko.ii
Chiragh Hasan Hasrat
Sher
shaaKH-e-uriyaa.n par khilaa ik phuul is andaaz se
jis tarah taaza lahuu chamke na.ii talvaar par
Mohsin Naqvi
Sher
armaa.n tamaam umr ke siine me.n dafn hai.n
ham chalte phirte log mazaaro.n se kam nahii.n
Unknown
Sher
aa ga.ii hai tire biimaar ke mu.nh par raunaq
jaan kyaa jism se niklii ko.ii armaa.n niklaa
Fani Badayuni
Sher
barhaman mujh ko banaanaa na musalmaa.n karnaa
mere saaqii mujhe mast-e-mai-e-irfaa.n karnaa