SEARCH RESULTS
Showing search results for "ارگن"
Sher MATCHES FOR "ارگن"
Sher
Khwaja Meer Dard
Sher
duniyaa ke jo maze hai.n hargiz vo kam na ho.nge
charche yuu.nhii rahe.nge afsos ham na ho.nge
Agha Mohammad Taqi Khan taraqqi
Sher
daulat-e-duniyaa nahii.n jaane kii hargiz tere saath
baad tere sab yahii.n ai be-KHabar baT jaa.egii
Bahadur Shah Zafar
Sher
maah-e-nau dekhne tum chhat pe na jaanaa hargiz
shahr me.n eid kii taariiKH badal jaa.egii
Jaleel nizami
Sher
Lala Kanji Mal Saba
Sher
dekhaa hai jis ne yaar ke ruKHsaar kii taraf
hargiz na jaave sair kuu.n gulzaar kii taraf
Siraj Aurangabadi
Sher
na hogaa raa.egaa.n KHuun-e-shahiidaan-e-vatan hargiz
yahii surKHii banegii ek din unvaan-e-aazaadii
Nazish Partap Gadhi
Sher
tazkira dehli-e-marhuum kaa ai dost na chhe.D
na sunaa jaa.egaa ham se ye fasaana hargiz
Altaf Hussain Hali
Sher
vafaa par daGaa sulh me.n dushmanii hai
bhalaa.ii kaa hargiz zamaana nahii.n hai
Dattatriya Kaifi
Sher
sar-chashma-e-baqaa se hargiz na aab laa.o
hazrat KHizar kahii.n se jaa kar sharaab laa.o
Nazeer Akbarabadi
Sher
Unknown
Sher
Mah Laqa Chanda
Sher
buraa na maane to ik baat puuchhtaa huu.n mai.n
kisii kaa dil kabhii tujh se bhii KHush hu.aa hargiz
Hasrat Azimabadi
Sher
maut kii god me.n jab tak nahii.n tuu so jaataa
tuu 'sadaa' chain se hargiz nahii.n sone vaalaa
Sada Ambalvi
Sher
Taban Abdul Hai
Sher
dayaar-e-ishq me.n tanhaa rahaa nahii.n hargiz
KHushii ne haath jo chho.Daa to Gam ne thaam liyaa