SEARCH RESULTS
Showing search results for "التفات"
Sher MATCHES FOR "التفات"
Sher
vaaqif hai.n KHuub aap ke tarz-e-jafaa se ham
iz.haar-e-iltifaat kii zahmat na kiijiye
Hasrat Mohani
Sher
iz.haar-e-Gam kiyaa thaa ba-ummiid-e-iltifaat
kyaa puuchhte ho kitnii nadaamat hai aaj tak
Habeeb Ahmad Siddiqui
Sher
agar vo aaj raat hadd-e-iltifaat to.D de
kabhii phir us se pyaar kaa KHayaal bhii na aa.egaa
Yaqoob Yawar
Sher
bahraa huu.n mai.n to chaahiye duunaa ho iltifaat
suntaa nahii.n huu.n baat mukarrar kahe baGair
Mirza Ghalib
Sher
ye kis KHataa pe ruuTh ga.ii chashm-e-iltifaat
ye kab kaa intiqaam liyaa mujh Gariib se
Shakeel Badayuni
Sher
ravaa.n hai qaafila-e-ruuh-e-iltifaat abhii
hamaarii raah se haT jaa.e kaa.enaat abhii
Saba Akbarabadi
Sher
Hasrat Mohani
Sher
Firaq Gorakhpuri
Sher
hai vahaa.n shaan-e-taGaaful ko jafaa se bhii gurez
iltifaat-e-nigah-e-yaar kahaa.n se laa.uu.n
Hasrat Mohani
Sher
sau sau hai.n iltifaat taGaaful me.n yaar ke
begaanagii se us kii ko.ii aashnaa nahii.n
Inamullah Khan Yaqeen
Sher
muddat se iltifaat mire haal par nahii.n
kuchh to kajii hai dil me.n ki siidhii nazar nahii.n
Imdad Ali Bahr
Sher
unhe.n gumaa.n ki mujhe un se rabt hai 'saalim'
mujhe ye vahm unhe.n iltifaat hai shaayad
Farhan Salim
Sher
ai chashm-e-iltifaat ke maare hu.e sambhal
ye husn-e-ittifaaq hai husn-e-nazar nahii.n
Raqim Lakhnavi
Sher
kyaa kyaa hai.n dard-e-ishq kii fitna-taraaziyaa.n
ham iltifaat-e-KHaas se bhii bad-gumaa.n rahe
Asghar Gondvi
Sher
ai iltifaat-e-yaar mujhe sochne to de
marne kaa hai maqaam yaa jiine kaa mahal
Syed Aabid Ali Aabid
Sher
baa.ndhaa thaa KHud hii aap ne paiGaam-e-iltifaat
kyaa baat thii jo aap hii KHud bad-gumaa.n hu.e