SEARCH RESULTS
Showing search results for "اماں_جان"
Sher MATCHES FOR "اماں_جان"
Sher
mat sahl hame.n jaano phirtaa hai falak barso.n
tab KHaak ke parde se insaan nikalte hai.n
Meer Taqi Meer
Sher
hamii.n jahaan ke piichhe pa.De rahe.n kab tak
hamaare piichhe kabhii ye jahaan bhii pa.Dtaa
Abhishek Shukla
Sher
haa.n jaan to de.nge magar ai maut abhii dam le
aisaa na kahe.n vo ki ham aa.e to chale aap
Natiq Gulavthi
Sher
Shakeel Badayuni
Sher
ik dasht-e-be-amaa.n kaa safar hai chale-chalo
rukne me.n jaan o dil kaa zarar hai chale-chalo
Waheed Akhtar
Sher
Majeed Akhtar
Sher
Unknown
Sher
havas na jaan tujhe chhuu ke dekhnaa ye hai
tujhe hii dekh rahe hai.n ki KHvaab dekhte hai.n
Arif Imam
Sher
libaas dekh ke itnaa hame.n Gariib na jaan
hamaaraa Gam tirii imlaak se ziyaada hai
Azeem Haider Syed
Sher
ab to mil jaa.o hame.n tum ki tumhaarii KHaatir
itnii duur aa ga.e duniyaa se kinaaraa karte
Obaidullah Aleem
Sher
saare to nahii.n jaan bachaane me.n lage hai.n
kuchh ghaav hame.n zaKHm lagaane me.n lage hai.n
Junaid Akhtar
Sher
hame.n aziiz ho kitne ye jaan.ne ke liye
hamaarii jaan bhii haazir hai aazmaa.o hame.n
Mehwar Noori
Sher
hai mohabbat is vatan se apnii miTTii se hame.n
is liye apnaa kare.nge jaan-o-tan qurbaan ham
Unknown
Sher
kaisaa aanaa kaisaa jaanaa mere ghar kyaa aa.oge
Gairo.n ke ghar jaane se tum fursat kis din paate ho
Imdad Imam Asar
Sher
haadse jaan to lete hai.n magar sach ye hai
haadse hii hame.n jiinaa bhii sikhaa dete hai.n