SEARCH RESULTS
Showing search results for "اکیلے"
Sher MATCHES FOR "اکیلے"
Sher
ghar lauT ke ro.e.nge maa.n baap akele me.n
miTTii ke khilaune bhii saste na the mele me.n
Qaisarul Jafri
Sher
shukriya ai qabr tak pahu.nchaane vaalo shukriya
ab akele hii chale jaa.e.nge is manzil se ham
Qamar Jalalvi
Sher
tum akele me.n mile hii nahii.n varna tum ko
aur hii tarah ke ik shaKHs se milvaataa mai.n
Anjum Saleemi
Sher
tamaam naaKHudaa saahil se duur ho jaa.e.n
samundaro.n se akele me.n baat karnii hai
Tahzeeb Hafi
Sher
ye bad-nasiibii nahii.n hai to aur phir kyaa hai
safar akele kiyaa ham-safar ke hote hu.e
Haseeb Soz
Sher
Gam hai aavaara akele me.n bhaTak jaataa hai
jis jagah rahiye vahaa.n milte-milaate rahiye
Nida Fazli
Sher
iraada thaa jii luu.ngaa tujh se bichha.D kar
guzartaa nahii.n ik december akele
Ghulam Mohammad Qasir
Sher
KHud chale aa.o yaa bulaa bhejo
raat akele basar nahii.n hotii
Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi
Sher
akele ghar me.n bharii dopahar kaa sannaaTaa
vahii sukuun vahii umr bhar kaa sannaaTaa
Ishrat Afreen
Sher
zamaane bhar se ulajhte hai.n jis kii jaanib se
akele-pan me.n use ham bhii kyaa nahii.n kahte
Sagheer Malal
Sher
tamaam umr akele me.n tujh se baate.n kii.n
tamaam umr tire ruu-ba-ruu KHamosh rahe