SEARCH RESULTS
Showing search results for "اہل_بیت_نبی"
Sher MATCHES FOR "اہل_بیت_نبی"
Sher
Abroo Shah Mubarak
Sher
'saif' andaaz-e-bayaa.n rang badal detaa hai
varna duniyaa me.n ko.ii baat na.ii baat nahii.n
Saifuddin Saif
Sher
ab mujh me.n ko.ii baat na.ii Dhuu.nDhne vaalo
ab mujh me.n ko.ii baat puraanii bhii nahii.n hai
Sarfaraz Khalid
Sher
kaun sii baat na.ii ai dil-e-naakaam hu.ii
shaam se sub.h hu.ii sub.h se phir shaam hu.ii
Shad Azimabadi
Sher
baat ko samajh lenaa 'aam baat hai lekin
baat kii nazaakat ko log kam samajhte hai.n
Fareed Javed
Sher
mai.n haav-huu pe kahaanii ko KHatm kar duu.ngaa
ye aam baat nahii.n hai, ise KHabar liyaa jaa.e
Rana Amir Liyaqat
Sher
vatan ko phuu.nk rahe hai.n bahut se ahl-e-vatan
charaaG ghar ke hai.n sargarm ghar jalaane me.n
Mahtab Alam
Sher
Mahfuzur Rahman Adil
Sher
ahl-e-KHirad ko ab bhii nahii.n hai ko.ii KHabar
ahl-e-junuu.n bhii karte hai.n fikr-o-nazar kii baat
Fatima Taj
Sher
khaa ga.ii ahl-e-havas kii vaz.a ahl-e-ishq ko
baat kis kii rah ga.ii ko.ii aduu sachchaa na ham
Natiq Gulavthi
Sher
kar qatl mujhe un ne aalam me.n bahut Dhuu.nDaa
jab mujh saa na ku.i paayaa jallaad bahut royaa
Taban Abdul Hai
Sher
aur to dil ko nahii.n hai ko.ii takliif 'adam'
haa.n zaraa nabz kisii vaqt Thahar jaatii hai
Abdul Hamid Adam
Sher
na.ii fazaa me.n na.ii dostii panap na sakii
gharo.n ke biich puraanii adaavate.n thii.n bahut
Razzaq Arshad
Sher
raat ko aa kar jo tum milte to haa.n ik baat thii
sub.h ko suurat dikhaane aaftaab aayaa to kyaa
Jaleel Manikpuri
Sher
munhasir vaqt-e-muqarrar pe mulaaqaat hu.ii
aaj ye aap kii jaanib se na.ii baat hu.ii
Hasrat Mohani
Sher
ab bahut dasht-navardii hu.ii 'aasif' saahab
ab badan maut kii aavaaz pe haa.n chaahtaa hai
Asif Bilal
Sher
bahut Guruur thaa suuraj ko apnii shiddat par
so ek pal hii sahii baadalo.n se haar gayaa
Qamar Abbas Qamar
Sher
duniyaa se haT ke ik na.ii duniyaa banaa sake.n
kuchh ahl-e-aarzuu isii hasrat me.n mar ga.e